kismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye

kal jo the pehlu mein mere aaj wo hain begaane se
dil aur aankhein dono milkar kaisa sog manati hain

kismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
ladte rahe hum toofanon se aur wo darya paar gaye

iss shehr e mehroom e wafa mein jeena bhi kya jeena hai
aankhein weeran seena khaali jabse wo sarkaar gaye

jinki yaad ko dil mein basaakar humne umr guzaari thi
ab toh unke naam pe zinda rehne ke aasaar gaye

ab toh apni mehfil mein kuch taajir hain kuch saudagar
jin pe humko fakhr tha wo sab dost gaye wo yaar gaye

mere dil ke aaeene mein jin ka naam numaayan tha
unke jhoothe waade humko jeete ji hi maar gaye

unka dil paththar tha 'Fareedi' paththar ko kya hota hai
koi aansu kaam na aaya sab shikwe bekaar gaye



Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha