ehbaab ki soorat ho ke agheyaar ki soorat

ehbaab ki soorat ho ke aghyaar ki soorat
har chehre mein aati hai nazar yaar ki soorat

jis ankh ne dekha tujhe uss ankh ko dekhun
hai iske siwa kya tere deedar ki soorat

pehchaan liya tujhko teri sheesha gari se
aati hai nazar fann se hi fankaar ki soorat

sooorat meri ankhon mein samaayegi na koi
nazaron mein bassi rehti hai sarkaar ki soorat

dil haath pe rakha hai koi hai jo khareede
dekhun to zara main bhi khareedar ki soorat

aye mere dil ke khareedar kahan jaata hai
muft sauda hai arre yaar kahan jaata hai

ashqon ne bayaan kar hi diya raaz e tamanna
ham soch rahe the abhi izhaar ki soorat

'Wasif' ko sarre daar pukaara hai kisi ne
inkaar ki soorat hai na izhaar ki soorat

hasrat e khuld nahi aarzu e hoor nahi
tere jalwon ke siwa kuch mujhe manzoor nahi


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil