aisa banna sanwarna mubarik tumhein

aisa banna sanwarna mubarik tumhein
kamse kam itna kehna hamaara karo

wo kya sanwar gaye
meri kisat sanwar gayi

wo agar ban sanwar gaye honge
dekhne wale marr gaye honge

hazaaron wada e shab usne is soorat se taale hain
kabhi mehdi lagayi hai kabhi gesu sambhale hain

mareezon ka dam ankhon mein hai
wo hain mehve aaraish

wahaan hoton ki laali hai
yahaan jaanon ke laale hai

haaron fariaad kar rahe hain
magar kisi par nazar nahi hai

wo mehv hain aaeene mein aise
unko apni khabar nahi hai

aaeene mein har ada ko dekh kar kehte hain wo
aaj ye dekhenge hum kis kis ki hai aayi hui

sajne kle wat ye bhi zara dekhte nahin
aaeena dekhta hai unhein kis nigah se

unhe aaraish e gesu se matlab
koi deewana ho jaye bala se

chand sharmaayega chandni raat mein
yun na zulfon ko apni sanwara karo

ye tabassum ye ariz ye roshan jabeen
ye ada ye nigahein ye zulf e haseen

aeene ki nazar lag na jaaye kahin
jaane jaan apna sadka utaara karo

dil toh kya cheez hai jaan se jaayenge
maut aane se pehle hi marr jaayenge

ye ada dekhne wale lut jaayenge
yun na hasn hasn kar dilbar ishaara karo

ye ada hai ye ada kya qayamat
har ada mastaana sar se paaon tak chchaayi hui
uf teri kaafir jawaani josh par aayi hui

bismil ka khuda hafiz
kaatil ka khuda hafiz
tum jis pe nazar dalo
us dil ka khuda hafiz

andaaz apne dekhte hainaaeene mein wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho

dil churane ki ada khaas hua karti hai'
dekh lete hain wo duzdeeda nazar se pehle

zara unki shokhi to dekhiye
lye zulf e kham shuda haath mein
mere pass aake dabe dabe
mujhe saamp keh kar dara diya

dil mere lekar ye zaalim ne keha
jaao rasta lo tumhara kuch nahi

angrai lekar usne mujhpar khumaar daala
zaalim ki is ada ne bas mujhko maar daala

angrai bhi wo lene na paye utha ke haath
dekha mujhe to chchor diye muskura ke haath

fikr e ukba ki masti utar jayegi
tauba tooti toh kismat sanwar jayegi

tum ko duniya mein jannat nazar aayegi
sheikh ji maikade ka nazaara karo

kaam na mushkil mein koi yahaan
matlabi dost hain matlabi yaar hain

iss jahan mein nahi koi ehle wafa
ae fana iss jahaan se kinaara karo

Comments

  1. aisa banna sanwarna mubarik tumhein
    kamse kam itna kehna hamaara karo

    wo kya sanwar gaye
    meri kisat sanwar gayi

    wo agar ban sanwar gaye honge
    dekhne wale marr gaye honge

    hazaaron wada e shab usne is soorat se taale hain
    kabhi mehdi lagayi hai kabhi gesu sambhale hain

    mareezon ka dam ankhon mein hai
    wo hain mehve aaraish

    wahaan hoton ki laali hai
    yahaan jaanon ke laale hai

    haaron fariaad kar rahe hain
    magar kisi par nazar nahi hai

    wo mehv hain aaeene mein aise
    unko apni khabar nahi hai

    aaeene mein har ada ko dekh kar kehte hain wo
    aaj ye dekhenge hum kis kis ki hai aayi hui

    sajne kle wat ye bhi zara dekhte nahin
    aaeena dekhta hai unhein kis nigah se

    unhe aaraish e gesu se matlab
    koi deewana ho jaye bala se

    chand sharmaayega chandni raat mein
    yun na zulfon ko apni sanwara karo

    ye tabassum ye ariz ye roshan jabeen
    ye ada ye nigahein ye zulf e haseen

    aeene ki nazar lag na jaaye kahin
    jaane jaan apna sadka utaara karo

    dil toh kya cheez hai jaan se jaayenge
    maut aane se pehle hi marr jaayenge

    ye ada dekhne wale lut jaayenge
    yun na hasn hasn kar dilbar ishaara karo

    ye ada hai ye ada kya qayamat
    har ada mastaana sar se paaon tak chchaayi hui
    uf teri kaafir jawaani josh par aayi hui

    bismil ka khuda hafiz
    kaatil ka khuda hafiz
    tum jis pe nazar dalo
    us dil ka khuda hafiz

    andaaz apne dekhte hainaaeene mein wo
    aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho

    dil churane ki ada khaas hua karti hai'
    dekh lete hain wo duzdeeda nazar se pehle

    zara unki shokhi to dekhiye
    lye zulf e kham shuda haath mein
    mere pass aake dabe dabe
    mujhe saamp keh kar dara diya

    dil mere lekar ye zaalim ne keha
    jaao rasta lo tumhara kuch nahi

    angrai lekar usne mujhpar khumaar daala
    zaalim ki is ada ne bas mujhko maar daala

    angrai bhi wo lene na paye utha ke haath
    dekha mujhe to chchor diye muskura ke haath

    fikr e ukba ki masti utar jayegi
    tauba tooti toh kismat sanwar jayegi

    yum ko duniya mein jannat nazar aayegi
    sheikh ji maikade ka nazaara karo

    kaam na mushkil mein koi yahaan
    matlabi dost hain matlabi yaar hain

    iss jahan mein nahi koi ehle wafa
    ae fana iss jahaan se kinaara karo

    ReplyDelete
  2. There is no word I can use to appreciate the beauty with which Ustad has sung this song. It is simply the best of both the worlds.

    ReplyDelete
  3. i thhink its tum ko dunya not yum

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha