aamina ke laalna

suroor rehta hai kaif e tamaam rehta hai
labon pe mere muhammad ka naam rehta hai

bari hai naar e jahaanum se wo khuda ki kasam
wo jinko zikr e muhammad se kaam rehta hai

ye lutf ye tumhaara karam bemisaal hai
ik ik gunahgaar ka tumhein khayaal hai

ho mere haal pe bhi ik nigah e karam nawaaz
sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai

main madine mein jo jaata to wahan kya karta
kuch na karta toh faqat roze ko dekha karta

aamina ke laalna aamina ke laalna
lajpaal naam tera laj mori paalna

aaka mori laj paalna
aamina ke laalna

suno suno main hajaat rawa ya rasool allah
main de raha hoon sada par sada ya rasool allah

koi kaash jaa ke kehde ye arab ke meherbaan se
tere gham mein aye masiha koi jaa raha hai jaan se

kirpa pakro ya madni saiyyan tore bal bal jaaungi
apni bana ke rakh lo mohe charnan sees nawaungi

tum bin mora kaun jagat mein kiske daaman lagungi
main dukheyari augunhaari kisko haal sunaungi

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha