maikada ban gayi mast aankhen

maikda ban gayi mast aankhen
zulf kaali ghata ho gayi hai

kya ho mai ka nasha zindagi mein
zindagi khud nasha ho gayi hai

har tabassam khafa ho gaya hai
har musarrat juda ho gayi hai

ae gham e ishq teri badaulat
zindagi kya se kya ho gayi hai

main aseer e gham e hijr thehra
aur isse bhi zyada kahun kya

mujhko jurm e muhabbat mein yaaron
umr bhar ki saza ho gayi hai

pehle toh dekhna muskuraana
phir nazar pherna rooth jaana

ho gaya khoon kitnon ka na haq
aap ki toh adaa ho gayi hai

de ijazat tere nakshe paa ko
choom kar khud pashemaan hunga

hosh mein itni jurrat na hoti
bekhudi mein khata ho gayi hai

kaun hai dost hai kaun dushman
aks pesh e nazar hai sabhi ka

jab se hasrat chadha dil ka paara
zindagi aaeena ho gayi hai

unke dar pe pahunchne to payein
ye na poocho ke hum kya karenge

sar jhukaana agar jurm hoga
hum nigaahon se sajda karenge

ya dohra jabeenon ki mulajaat karenge
ya bandagi e peer e kharafaat karenge

ye akl ke sehme hue bemaar iraade
kya chaara e na saazi e haalaat karenge

jannat mein na mai hai na muhabbat na jawani
iss cheez pe basar aukaat karenge

aa e gham e dauraan dar e maikhaana hai nazdeek
aaram se baithenge zara baat karenge

nasha sharab mein hai na masti shabaab mein
ik rang se bahisht mein rehna azaab hai

firdous ki tahoor bhi aakhir sharaab
mujhko na le chalo meri niyat kharaab hai

saaki teri nazar ne ye kya kar diya hamein
jaise ragon mein khoon nahi sharaaab hai

o mubtala azeez thehar khudkushi na kar
tera ilaaj zahar nahi hai sharaab hai

hai dast e muhtasib mere jaan bakhsh hijr mein
main zahar pee raha tha wo samjha sharaab hai

baat bhi teri rakhni hai saaki
zarf ko bhi na ruswa karenge

jaam de ya na de aaj hum to
maikde mein savera karenge

iss taraf apna daaman jalega
uss taraf unki mehfil chalegi

hum andhere ko ghar mein bulaakar
unke ghar mein ujaala karenge

humko jhoothi tasalli na dijiye
gham mein abb aur ijaafa na kijiye

jiss se ankhon mein aa jayein aansu
wo khushi leke hum kya karenge

aaj toh unka mujh se hai parda
lekin ik waqt aayega aisa

jab muhabbat sada degi dekhun
aaeene se wo parda karenge

baad tarqe talluk bhi 'Anwar'
itna ehsaas e rasm e wafa hai

aakhiri saans tak bhi main unse
berukhi ka na shikwa karenge

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha