hasti pe nikhaar aa jaata hai

har shai se beniyaaz hai mera dil e hadeem
tum kya mile dono jahaan mil gaye mujhe

hasti pe nikhaar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hote hain

har shai pe khumaar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hote hain

jab tasawwur mein koi jalwa numa hota hai
dil ka aalam mera duniya se juda hota hai

jhukti hai jabeen sajde ke liye
aankhen bhi talaawat karti hain

dil ko bhi karaar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hoe hain

chalti hai hawa bhi masti main
phoolon pe bhi gulshan har su

tab rang e bahaar aa jaata
jis waqt wo saamne hote hain

parwane ki haalat kya kahiye
parwana hai aakhir parwana

shamma ko bhi pyar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hote hain

bhaati nahi khushbu phoolon ki
bhawre ko apna dil le kar

hone ko nisaar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hote hain

makhbool ghata chaa jaati hai
mashoor fazaa ho jaati hai

Safrii ko karaar aa jaata hai
jis waqt wo saamne hote hain

manam mehve khayaal e oo
nami daanam kuja raftam

shudam garke wisaal e oo
nami daanam kuja raftam

ghulam e rooh e oo boodam
aseer e mooh e oo boodam

gubaar e qoo e oo boodam
nami daanam kuja raftam

kisi ki yaad mein duniya ko hain bhulaaye hue
zamaana guzra hai apna khayaal aaye hue


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha