saath dene ka waada kiya hai
misaal o maawra hone se pehle
khuda kya tha khuda hone se pehle
tabiyat ko tabiyat se badal lo
tabiyat aashna hone se pehle
baja hone ki hai sirf ek soorat
galat hoja baja hone se pehle
saaz e hasti baja raha hoon main
jashn e masti mana raha hoon main
kya ada hai nisaar hone ki
tujhse pehlu bacha raha hoon main
kitni pukhta hai meri naadaani
tujhko tujhse chhupa raha hoon main
dil dubota hoon chasm e saaki mein
mai ko mai mein mila raha hoon main
aapko jeetne ke dhokhe mein
jaan ki baazi laga raha hoon main
unko milne ki aarzu mein adam
apne nazdeek aa raha hoon main
veerani e ghuman ko aqeedat se sej kar
sdaadabi e hayaat ka unwaan bana diya
duniya tere wajood ko karti rahi talaash
hamne tere khayaal ko yazdaan bana diya
saath dene ka waada kiya hai
jaane jaan apna waada nibhaao
yun na chchodo mujhe raaste mein
do kadam toh mere saath aao
kuch toh socho musalman ho tum
kaafiron ko na ghar mein bithaao
loot lenge yeh imaan hamaara
apne chehre se gesu hataao
meri turbat pe kyun ro rahe ho
neend aayi hai mushkil se mujhko
qabr mein chain se so raha hoon
chcheente de kar na mujhko jagaao
charaagar main hoon bemaar e furqat
kyun uthaate ho bekaar zehmat
karna chaaho jo mera madaawa
dhoondh kar mere dilbar ko laao
jab wo dekhenge mayyat tumhari
aye fanaa unko afsos hoga
ho jo mumkin to apne khuda se
thodi si zindagi maang laao
khuda kya tha khuda hone se pehle
tabiyat ko tabiyat se badal lo
tabiyat aashna hone se pehle
baja hone ki hai sirf ek soorat
galat hoja baja hone se pehle
saaz e hasti baja raha hoon main
jashn e masti mana raha hoon main
kya ada hai nisaar hone ki
tujhse pehlu bacha raha hoon main
kitni pukhta hai meri naadaani
tujhko tujhse chhupa raha hoon main
dil dubota hoon chasm e saaki mein
mai ko mai mein mila raha hoon main
aapko jeetne ke dhokhe mein
jaan ki baazi laga raha hoon main
unko milne ki aarzu mein adam
apne nazdeek aa raha hoon main
veerani e ghuman ko aqeedat se sej kar
sdaadabi e hayaat ka unwaan bana diya
duniya tere wajood ko karti rahi talaash
hamne tere khayaal ko yazdaan bana diya
saath dene ka waada kiya hai
jaane jaan apna waada nibhaao
yun na chchodo mujhe raaste mein
do kadam toh mere saath aao
kuch toh socho musalman ho tum
kaafiron ko na ghar mein bithaao
loot lenge yeh imaan hamaara
apne chehre se gesu hataao
meri turbat pe kyun ro rahe ho
neend aayi hai mushkil se mujhko
qabr mein chain se so raha hoon
chcheente de kar na mujhko jagaao
charaagar main hoon bemaar e furqat
kyun uthaate ho bekaar zehmat
karna chaaho jo mera madaawa
dhoondh kar mere dilbar ko laao
jab wo dekhenge mayyat tumhari
aye fanaa unko afsos hoga
ho jo mumkin to apne khuda se
thodi si zindagi maang laao
is naat meseges kar do
ReplyDeleteEnglish translation please
ReplyDelete[chcheente] ka kya meaning hai???
ReplyDeleteSprinkle
DeleteMKHDCOD
ReplyDelete