ya hussain ya hussain

shaheed e karbala ki mominon jab yaad aati hai
tadap jaati hai duniya khoon ke aansu bahaati hai
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain

shah hast hussain baadshah hast hussain
deen ast hussain di panah hast hussain
sar daad na daad nast dar ast azeem
haq aa ke bina e lailah hast hussain

sajde mein sar kataane ko aakhir kata diya
lekin khuda ke naam ka danka baja diya

deed ki gar talaash hai sar ko jhuka namaaz mein
dil se khudi ko door kar khud ko mita namaaz mein
aayega tujhko jab nazar rooh e khuda namaaz mein
pehle hussain ki tarah sar kata namaaz mein
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain

kiski majaal aye hussain jiko ho tujhse hamsari
baap ke ghar imaamatein nana ke ghar payambari
shakal e hussain dekh kar haq bhi kahega hashar mein
aye mere mustafa ke laal ummat e mustafa bari

salaami karbala mein kya qayamat ki ghadi hogi
churi shabbeer ki gardan pe jis dam chal rahi hogi
kaleja thaam kar peer e falak bhi reh gaya hoga
kaleje pe ali akbar ke barchi jab lagi hogi

mujhe jaane do paani bharke yeh abbaas kehte the
kayi din ki payaasi hai sakeena ro rahi hogi
luti hai jaise duniya karbala mein ibn e haider ki
kisi mazloom ki duniya na duniya mein luti hogi

muhammad ke nawaase ne jo gidaron ke saaye mein
bashart o kya farishton na aisi bandagi hogi
nabi se pesh tar mehshar mein ummat baksh waane ko
hussain ibn ali aayenge duniya dekhti hogi

hamaare khoon ke badle mein ummat baksh de ya rab
khuda se hashar mein ye iltaja shabbeer ki hogi
bade ghamkhaar wo hain gham na kar bakhshish ka aye purnam
karam se panjtan ke hashar mein bakhshish teri hogi

jab jaan tann se nikle lab par mere hoga
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain

husn ki ibtida hai kaun ishq ki inteha hai kaun
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha