hai ibaadat meri naat e khairul wara

banne hain dono jahaan mizhat e nabi ke liye
nabi ki naat sahaara hai zindagi ke liye

hai ibaadat meri naat e khairul wara
mujhko duniya ki parwah nahi hai

naat e mehboob daawar sadad ho gayi
meri bakhshish wahin mustadad ho gayi

naam e muhammad itna meetha meetha lagta hai
manwa nabi nabi nit bol 
issi naam ki barkat ne 
diye raaz e haqeeqat khol

lab pe jab unka naam aata hai
lamakan se salaam aata hai

mera muh liya kyun noor hul ameen ne
liya jis waqt maine naam e muhammad

naam e muhammad itna meetha meetha lagta hai
pyare nabi ka hamko zikr bhi pyara lagta hai

naat kehna ke kareena aa gaya
ab rehmat ka khazeena aa gaya
naat jab maine padi sarkaar ki
saamne memre madina aa gaya

meri pehchaan hai nisbat e mustafa
mujhko do zakh ka khatka nahi hai

naaz jis baat pe hai wo baat yahi hai
meri pehchaan hai nisbat e mustafa

unse nisbat nahi to kuch bhi nahi
gar yeh daulat nahi to kuch bhi nahi

tinka hoon magar khauf e hawa ras nahi rakhta
lo dekh lo toofan ke main sir pe chada hoon
main kuch bhi nahi hoon yeh mujhe naaz hai aaka
nisbat hai meri aapse main sabse bada hoon

na yeh daulat na shohrat badi cheez hai
na yeh takht o hakoomat badi cheez hai
gar koi cheez duniya mein hai jo badi
kamli wale se nisbat badi cheez hai

shah e batha se jo nisbat ho gayi hai
mujhe har gham se fursat ho gayi hai
jabeen wakf e ibaadat ho gayi hai
mujhe unse muhabbat ho gayi hai

mujhe kehte hain sab deewana unka
yeh soorat kaisi soorat ho gayi hai
mila hai daaman e sarkaar mujhko
meri poori zaroorat ho gayi hai

mili jab si muhammad ki ghulami
meri duniya mein izzat ho gayi hai

koi baitha rahe andesha e farda lekar
mutmayin hun issi nisbat ka sahaara lekar

jaake ghar ghar sajaata hoon main mehfilein
apne mehbood ki rabb ke makhlood ki
sadka sarkaar ka hai mila martaba
kaise keh dun ki milta nahi hai

kitna hai yeh karam rakhte hain wo bharam
main toh nadaan wabista ky aky ana kiya
laaj rakh li meri sarkaar ne ruswa na kiya

kitna hai yeh karam rakhte hain wo bharam
sayyid e mohtaram shah e waala hasham
yaad e sarkaar se shaad hai dil mera
aur kuch dil ko bhaata nahi hai

kun khuda ne kaha khalq sab ko kiya
jiski khaatir kaha wo toh pehle se tha
aap ke noor se noor sabko mila
aapsa koi dekha nahi hai

hai yeh hardam dua jab ho waqt e niza
muhammad saamne ho aur mera dam nikalta ho

bilahi se badhkar aarzu e dil nahi koi
muhammad ya muhammad kehte kehte dam nikal jaaye

hai yeh hardam dua jab ho waqt e niza
aap hon us ghaddi saamne mustafa
hai tamanna yahi aakhiri bakhuda
aur koi tamanna nahi hai

azmat e zindagi nisbat e mustafa
maksad e bandagi mizhat e mustafa
padh tu 'Safri' sada naat e khair ul wara
jism ka jin pe saaya nahi hai

Comments

  1. HAZRAT ALI (R.A) FARMATE HAIN:-USS ZAAT (ALLAH) KI KASAM JIS KI HATH MA MARE JAAN HAI JAB BE HUM NI KISE BHALAYE KI KAAM MA SABKAT LE JANE KI KOSHISH KI TU ABU BAKAR (R.A) HUM SAB KO PECHE CHOR GAYE..SUBHAANALLAH...
    Online Naats

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil