rahi wo unki begaana vashi awwal se aakhir tak

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai

raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi
jaise bemaar ko bewajah karaar aa jaaye
jaise sehraaon mein haule se chale baade naseem
jaise veerane meinn chupke se bahaar aa jaaye

rahi wo unki begaana vashi awwal se aakhir tak
nibhaayi hamne phir bhi dosti awwal se aakhir tak

siha wakhti mein kaam aaya koi apna na begaana
rahi bas teri banda parwari awwal se aakhir tak

khirad do gaam chal ke thak gayi raah e muhabbat mein
junoon e ishq ne ki rahbari awwal se aakhir tak

suna jab naama e aamaal apna hamne mehshar mein
nazaamat se nazar neechi rahi awwal se aakhir tak

na dekhi humne tareeki kahin markaz se mehshar tak
mili tere karam ki roshni awwal se aakhir tak

guzaari zindagi ko humne maikhaane ki duniya mein
miti lekin na dil se tishnagi awwal se aakhir tak

kisi ki shaan e sadtaari ke qurbaan jaayiye saabir
mere aibon ki pardaposh ki awwal se aakhir tak

nahi maaloom kis ke aasre pe dam nikal jaata
yahi achcha hua tujh par bharosa kar liya maine

mere kufr e muhabbat par na kar tankeed aye naseh
koi to baat dekhi thi jo sajda kar liya maine

meri umar e do roza ne to ik duniya bana daali
zara si der ke wakfe mein kya kya kar liya maine

kamaal e zabt e gham hai ankh mein aansoo nahi aate
bada rista ho naasoor acha kar liya maine

Comments

  1. Kamal e Zabt e Gham hai ankh mein ansu nahi atte
    bada rista ho nasor acha kr lia maine

    ReplyDelete
  2. Thanks for pointing that out.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha