ya farid ya farid ya farid ya farid

jab farishte qabr mein lene ko aayenge hisaab
sab sawaalon ka faqat hoga yahi mera jawaab
ya farid ya farid ya farid ya farid

shamm e bazm e khwaajgan baba farid
sajdagah e aashiqan baba farid
ya farid ya farid ya farid ya farid

mere baba ka jo dekha josh par bahr e ata
jhoom kar baba sakhi ke sab fakeeron ne kaha
ya farid ya farid ya farid ya farid

khwaja e hindal wali farma gaye
shah baaze lamakaan baba farid
ya farid ya farid ya farid ya farid

sadka e sabir alauddin aaj
bhardo sabki jholiyan baba farid

ik taraf sabir alauddin hain daaman kusha
hai wazeefa ik taraf khwaja nizamuddin ka

chishtiyon ka kaaba e imaan hai
aap ka yeh aastaan baba farid
ya farid ya farid ya farid ya farid

allah muhammad chaar yaar
haaji khwaja qutab farid

jo ke hain ehle nazar wo keh rahe
benishaan ka hai nishaan baba farid

khwaja qutab uddin ke sadke se bharde jholiyan
tere dar pe yeh sada de rahe hain goliyan

kyun kahin jayein mukaddar aazmaane ke liye
jab farid uddin hain bigdi banane ke liye
aashiqon ko butkade se kaabe se matlab hai kya
aapki chaukhat hai kaafi sar jhukaane ke liye
sadka e khwaja qutab de bhikh ab kya der hai
ham nahi aaye hain dar pe khali jaane ke liye

tu mera baba mera daata mera mushkilkusha
kyun na keh dun tere hi sadke mila mujhko khuda


Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil