tore prem se simrun har dam

tore prem se simrun har dam
mann mandir more shaam
sanson ki maala tore naam

jit jaaun gun tore gaaun
aur naahi koi kaam

logon se kahun prem kahaani
main preetam hun tori deewani

jee chaahe tore sang sang aaun
tore pyar se nain sajaaun

tori yaad mein preetam pyare
chchorun saare kaam
sanson ki maala tore naam

mann mein tori lagan basaaun
aashaon ke deep jalaaun

tujhe kyun na poojun tujhe kyun na chaahun
mere mann ke mandir ka tu devta hai

yaad karun tohe din raina
tori yaad hai mann ka chain piya

tum chanda ho neel gagan ki
main dharti ki maati
kaise kahun yaad mein tori
ro ro ratiyan kaati

ab aao shaam tohe pukaarun subho shaam
main dukhiyaari jee se haari ho gayi mori neend haraam

na koi saathi na koi saajan na koi mere paas saheli
virha ki lambi raat guzaarun darr ke maari kaise akeli

jab se laage tore sang nain piya
tori yaad hai mann ka chain piya

tori deed ko ankhiyan tarsat hain
tori yaad mein har dam barsat hain

saawan ki kaali raaton mein jab boonda baandi hoti hai
jag sukh ki neend mein sota hai aur birha maari roti hai

mori ro ro ke kat ti hai rain piya
tori yaad hai mann ka chain piya

yaad karun tohe din raina
tore bina mohe aave na chaina
tohe dekhun tohe chaahun
tohe karun parnaam
sanson ki maala tore naam

kisko mann ki baat bataaun
laaj ki maari mar mar jaaun
darr laage kahin vyaakul naina
mohe karein na badnaam
sanson ki maala tore naam

jeevan tore pyar ka angna
mann chaahe tohe har dam sajna
main balhaari prem ki maari
kaa jaanun anjaan
sanson ki maala tore naam

main daasi hun tori sayiyaan
charan pade ki thaam le bayiyaan
main huntori prem pujaaran
tu saajan mora raam
sanson ki maala tore naam

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil