aaeeno mein yeh kitne chehre hain
aaeeno mein yeh kitne chehre hain
aqs tere hain aqs mere hain
itne pathar agar baham ho jaye
rafte ko aasmaan lagein
itne zarre hon agar jama kahin
wo sate dasht e benishaan lagein
itne taarein agar chamakte hon
zarf e kurshid bechirag lage
itne unche agar mehakte hon
mausam e zard besurag lage
neel se taab aakash agar dekho
ek hi roshni ke ghere hain
sab musafir hain ek hi raste ke
ek manzil pe sabko jaaan hai
apni apni hadon mein rehte hue
ek naya dayara banana hai
roshni jo hira se tooti thi
usmein rehna hai jagmagaana hai
najd se uthne wali khushboo ka
phir se ab muntazir zamaana hai
taara taara bikharte jaayenge
jitne saaye hain jo andhere hain
Comments
Post a Comment