aisi bhi kya jaldi pyare

aisi bhi kya jaldi pyare jaane milein phir ya na mile ham
kaun kahega phir yeh fasaana baith bhi jaao sun bhi lo koi gham

husn aur ishq juda hote hain jaane kya toofan uthega
husn ki aankhein bhi hain purnam ishq bhi ankhein hain purnam

wasl ki shirini mein pinha hijr ki talkhi bhi hai kam kam
tumse milne ki bhi khushi hai tumse juda hone ka bhi gham

meri wafa to nadaani thi tum ne magar ye kya thaani thi
kaash na karte mujhse muhabbat kaash na hota yeh aalam

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha