jaag uthenge dard purane

jaag uthenge dard purane
zakhmon ki anganayi mein

dil ki chot ubhar aayegi
mat niklo qurmayi mein

koyal koo ki mauj e saba ne
paaun mein ghungru baadh liye

pyar ka nagma chched raha hai
aaj koi shehnayi mein

jo pehle badnaam hue the
unko duniya bhool gayi

hamne kaise rang bhare hain
ishq teri ruswayi mein

kaun tumhare dukh bantega
kaun ye naaz uthayega

ham jis waqt na hinge jaana
tadpoge tanhayi mein

aaj fana ke peeche peeche
khaak udate phirte hain

logon ne kya dekh liya hai
aaj tere saudayi mein

Comments

  1. Qurmayi ka matlab koi please bata dijiye.

    It would be really grateful of you🙏

    ReplyDelete
  2. This is not qurmayi. This is purwai means wind.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil