tera karam jo shah e zee waqar ho jaaye

tera karam jo shah e zee waqar ho jaaye
sharminda kar rahi hai meri har khata mujhe
lekin nibha rahi hai tumhari ata mujhe

main haq e bandagi na ada kar saka kabhi
lekin tere karam ne nawaaza sada mujhe

tera karam jo shah e zee waqar ho jaaye
gada yeh khaak nasheen taajdaar ho jaaye

yeh arzoo hai ke har husn ishq e ahmad mein
madine wale aaka yeh to hasrat kam se kam nikle
tumhara rooh e anwar dekh kar aashiq ka dam nikle

meri mushkil ho mere mushkil kusha ke saamne
kaash dam nikle muhammad mustafa ke saamne

zahe naseeb madina naseeb ho jaaye
yeh benaseeb bhi sahib naseeb ho jaaye
main naam loon kabhi waiz haram ko jaane ka
tawaab e koo e muhammad naseeb ho jaaye

ya rab rasool e paak ka roza naseeb ho
jinka hoon unke saamne naseeb ho
wo door ke tajalliyan musa ko hon naseeb
mujhko madine wale ka jalwa naseeb ho

yeh arzoo hai ke har husn ishq e ahmad mein
tadap tadap ke dil e bekaraar ho jaaye

karishme uski kareemi ke dekhne hon agar
gunahgar zara sharmsaar ho jaaye

huzoor hashar mein raunaq faroz hon to ameer
karam hai aam chalo yeh pukaar ho jaaye


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha