yeh teri umar jise sab shabaab kehte hain

badli hai waza taur se betaur ho gaye
tum toh shabaab aate hi kuch aur ho gaye

yeh teri umar jise sab shabaab kehte hain
kasam khuda ki use ham sharaab kehte hain

gulon ki yun toh chaman mein kami nahin lekin
wo teri lab hain jinhein ham gulab kehte hain

nazar nazar se milakar wo muskurate hain
ise sawaal isi ko jawaab kete hain

na unko mujhpe yakin hai na mujhko unpe yakin
isi ko log dilon ka hisab kehte hain

mili hain jo mujhe ruswayiyaan muhabbat mein
zabaan e aam mein isko azaab kehte hain


Comments

  1. fARID UMAR TERI KAT GAYI TAMASHO ME
    Isi Liye Tuje Apne Kharab Khete hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. badli hai waza taur se betaur ho gaye
      tum toh shabaab aate hi kuch aur ho gaye

      yeh teri umar jise sab shabaab kehte hain
      kasam khuda ki use ham sharaab kehte hain

      gulon ki yun toh chaman mein kami nahin lekin
      wo teri lab hain jinhein ham gulab kehte hain

      nazar nazar se milakar wo muskurate hain
      ise sawaal isi ko jawaab kete hain

      na unko mujhpe yakin hai na mujhko unpe yakin
      isi ko log dilon ka hisab kehte hain

      mili hain jo mujhe ruswayiyaan muhabbat mein
      zabaan e aam mein isko azaab kehte hain

      Fareed umar teri kat gayi tamashon mein
      isi liye tujhe apne kharab kehte hai.

      Delete
    2. Thanks for the complete lyrics

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil