yaad unki dil mein hoti hai

raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai
janein kyun lab pe mere aap ka naam aata hai
ye tasarruf faqat ek baat par nahi maukaoof
jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai

yaad unki dil mein hoti hai
aur hijr ki raatein hoti hain
ankhein yun chcham chcham roti hain
jaise barsaatein hoti hain

manzoor jise chaahein wo karein
dekha hai yeh ishq ki duniya mein
poocha nahi jaata naam o nasab
maaloom na zaatein hoti hain

hote hain jab wo tasawwur mein
aur ishq ka jalwa hota hai
lab hote hain chup aankhein saakat
hairat hai ki baatein hoti hain

tasawwur mein unse mulaakaat kar li
rahe dono khaamosh aur baatein kar li

deedaar ki daulat lut ti hai
aur saahil aate jaate hain
kis shaan se unke kooche mein
aye dil khairaatein hoti hain

mehdood nahi hai unka karam
yeh bakshish unke haath mein hai
jitna jise chaahein kardein ata
ye apni baraatein hoti hain

jholiyan sabki bharti jaati hain
dene waala nazar nahi aata

maut aaye riyaz e khasta jigar
aye kaash muhabbat mein unki
sunnte hain ke aise marne mein
poshida hayaatein hoti hain

har aankh mein tera jalwa hai
har dil mein tumhari basti hai
bas kaabil e sajda mere liye
sarkaar tumhari hasti hai

har waqt tasawwur mein wo hain
har waqt suroor o masti hai
wo khud hain mujassam maikhaana
ankhanon se sharaab barasti hai

saagar mein kahaan yeh rangeeni
sehba mein yeh saaki kaid kahaan
yeh teri nazar sadka hai
yeh teri nazar ki masti hai

aye jaan e tamanna jaan e hazeem
aye haasil e eemaan haasil e deen
qurban main tere kadmon par
kya dil kya dil ki basti hai

jis samt wo guzre jaate hain
har gaam pe kaabe bannte hain
saaki ke niraale maston mein
kuch aisi niraali masti hai

is ishq ki manzil pe yaaron
har gaam pe likha dekha
jo ishq ke bande hain unki
duniya se niraali bannti hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha