ya haiyo ya qayyum

ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe
tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer
niza ke waqt salaamat mera imaan rahe

ya rahim o ya rehmaan
ya aadil o ya dayal
ya hafiz o sadda
ya waahid o ya gaffa
ya maalik o ya razzak
tu khaalik e har khanda
har raaz tujhe maloom
ya haiyo ya qayyum

ye misl hai naare
tu paak hai beai
tu zeest ka hai unwan
tu saakhir e har utwan
teri zaat hai azzajal
tu har mushkil ka hal
har samt hai teri dhoom
ya haiyo ya qayyum

rehmat ki nigahon ka ishaara maango
duniya se koi shaidan khudaara maango
duniya ki wafa jhooth sahaare hain fareb
allah se allah ka sahaara maango

munsab ki karo chaah nasawat maango
tum ehle muhabbat ho muhabbat maango
har haal mein thaame hue daamaan e raza
allah se allah ki rehmat maango

kar dil ko ata souz e dawa mi ya rabb
har saans ho rehmat ki payaami ya rabb
auron ki shareeqi nahi haajat mujhko
kaafi hai muhammad ki ghulami ya rabb

wo nabiyon ka sardar har aalam ka mukhtaar
har saaz hai wo aawaaz tu raaz wo mehram raaz
tu lafz hai wo farhand toh hakim wo aurang
tu laazim wo manzoor tu laazim wo manzoor

aadat hai meri hadd se guzarna ya rabb
aata hi nahi mujhko theharna ya rabb
tarfayega daamaan e karam pe tere
sharminda sarre hashar na karna ya rabb

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha