yaad un ki rahe dil mein

usse garaz nahi karoon ke khazaanon se
jise ho ishq muhammad ke aastaane se

madine jaake nikal jaaye gham to yeh samjhun
khuda ka shukr hai mitti lagi thikaane se

yaad un ki rahe dil mein aankhon mein madina ho
aisi meri kismat ho aisa mera jeena ho

main so jaaun ya mustafa kehte kehte
khule ankh zalle allah kehte kehte

ilahi mere dil se fikr e pesh o gham nikal jaaye
muhammad ya muhammad kehte kehte dam nikal jaaye

allah ka ghar dekhein aur aapka roza bhi
allah kare hamko muyassar yeh safar ho
makke mein ho gar shaam madine mein sahar ho

allah ke mehboob ke roze pe nazar ho
dil tadpe idhar aur udhar unko khabar ho

pehle kaabe mein sar ko jhukaayein
phir muhammad ke roze pe jaayein

deen o duniya ki daulat ko paayein
do jahaan saath ham leke aayein

allah ka ghar dekhein aur  aapka roza bhi
ham dil mein basa laayein kaaba bhi madina bhi
bulwaana hamein aaka jab hajj ka mahina ho

mehshar ka kise gham hai ho jaaye abhi mehshar
ham ummat e ahmad e mursan hain
yeh hashar ka aalam kuch bhi nahi
kya iski majaal jalaaye hamein
ye naare jahannum kuch bhi nahi
hai dil mein hamaare ishq e nabi
bas itna yakeen hi kaafi hai
yeh garmi e mehshar kya shai hai
sarkaar ki kamli kaafi hai

bani bakshish ka saaman ahmad e unwan ki kamli
chchupa legi mere gunahon ko sarkar ki kamli

yeh garmi e mehshar kya shai hai
sarkaar ki kamli kaafi hai

aasi hain magar aaka hai naaz hamein tum par
bakshish ka sahaara ho rehmat ka ghazina ho

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil