soorat e nijaat bann gayi

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

andheri raat hai shams ud duha ki baat karo
sitaaron aao mujhse mustafa ki baat karo
nakeeron baad mein koi doosra sawaal karo
khudaara pehle mere mustafa ki baat karo

kamli wale ke karam ki baat hai
warna mujh mangte ki kya aukaat hai

soorat e nijaat bann gayi
shah e arab pe dil mera qurbaan ho gaya
ab mann khirad ke waaste saaman ho gaya

bhatke huon ko rahbar e eeman mil gaya
har ek ko nijaat ka saamaan mil gaya

soorat e nijaat bann gayi
tum mile to baat bann gayi

tumhara naam lene se mujhe sab jaan jaate hain
main wo khoyi hui cheez hun jiska pata tum ho

gham mila lazzat e hayaat mili
tum mile saari qayanaat mili

rreh gaya meri khataon ka sarre hashar bharam
mil gaya aapke daaman ka sahaara mujhko

khaate the tokarein jo zamaane ke the gada
teri gali mein aaye to sultaan bann gaye

mujhe kya teri raahein mil gayi hain
zamaane se panaahein mil gayi hain
mile kya tere nakshe gafe paa
tere milne ki raahein mil gayi hain

pehle unki zaat bann gayi
phir yeh qayanaat bann gayi

na falak na chaand taare na sahar na raat hoti
na tera jamaal hota na yeh qayanaat hoti

dar huzur ka jo mil gaya
bekason ki baat bann gayi

sunte hain ke mehshar mein sirf unki rasayi hai
gar unki rasayi hai wo tab to bann aayi hai

rukh ki roshni se din bana
gesuon se raat bann gayi

jaan di dar e huzur par
maut bhi hayaat bann gayi

saajid e habib pe ho karam
zeest ham ki raat bann gayi

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha