ho chashme karam sab par daata

daata tere huzur mein koi kami nahi
wo kaun jiski bigdi yahan par bani nahi

daata lakab huzur ka batla raha hai yeh
aisa wali nahi koi aisa sakhi nahi

ho chashme karam sab par daata
ham tere daware aaye hain

na jannat na bagh e kiram chaahte hain
gunahgaar hai bas karam chaahte hain

tere huzur mein ashqon ki nazar karta hoon
tere karam ke siwa dil na kuch mera mange

aaka mera bhar dijiye umeedon ka daaman
main maangta hoon sadka hussain ibn e ali ka

sab ko khairaat de sab ki jholi ko bhar
ganj bakshi ka sadka ata sab ko kar
tu hai mauj e karam tu hai abr e karam
khol ganj e ata teri kya baat hai

ho chasme karam sab par daata
ham tere daware aaye hain
kuch leke uthenge deewane
daaman ko pasaare aaye hain

anwaar baraste hain dil par
baarish hai karam ki mehfil par
taiba se mere daata ke liye
sarkar hamare aaye hain

baghdaad se aaye ghaus e jaleen
ajmer se khwaja hindal wali
saabir mehboob aur qutab piya
sab raaj dulaare aaye hain

yeh urs hai mere daata ka
jo maango ge mil jaaye ga
kashti ko nahi darr toofan ka
khud chal ke kinaare aaye hain

gardish mein tere paimaane hain
sab log tere deewaane hain
jalwon ka ajab hi aalam hai
masti mein jo saare aaye hain

tu noor e khuda ka mazhar hai
har ik ke liye tu rahbar hai
teri hi nazar ke sadke se
pur kaif nazaare aaye hain

bigdi ko bana de daata piya
jab koi mushkil sataaye
wazeefa kar ke dekh daata piya

main tera ho gaya hoon
mujhko kuch kami nahi

bigdi ko bana de daata piya
'Qaasif' bhi hai tere dar ka gada
lene ke liye ham faiz tera
dukh dard ke maare aaye hain

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha