kamli wale nabi aa gaye

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh naam e muhammad
jis shaks ke ho dil pe likha naam e muhammad

madine waale ka jo bhi ghulam ho jaaye
kasam khuda ki wo aalin makaam ho jaaye
nabi ke ishq ka jis dil mein dagh roshan ho
to uspe atishe do zakh haraam ho jaaye

rabb ne farmaaya meri qudrat ki hadd koi nahi
aur mere mehboob ki azmat ki hadd koi nahi
jab malak samjhe nahi toh aadmi samjhega kya
aamina ke laal ki rehmat ki hadd koi nahi

karam bannkar wafa bannkar sakha bannkar ata bannkar
khuda ka noor utra aasmaan se mustafa bannkar

aa gaye aa gaye aa gaye
kamli wale nabi aa gaye

gunahgaaron na ghabraao
kamli wale nabi aa gaye

hun yateeman te ghareeban
di khuda ne sun layi

aa gaye aa gaye aa gaye
taiba wale nabi aa gaye

kat gayi shaam e zulmat sawera hua
dekho tashreef laaye hain khair ul wara
jinke jalwon se chamke gaar e hira
do jahaan milke padhte hain salle allah

noor e azli chamkaya gayab hanera ho gaya
kamli wala aa gaya har thaan sawera ho gaya

makke chaar chu phere pukaar pai gayi
waali dohan jahaan da aaya
wallail zulfan baduha mukhda
kise maa karman waali jaaya e

rehmaton ki ghata ghir ke chchaane lagi
har taraf roshni muskuraane lagi
zulmat e kufr muh ko chchupaane lagi
khaana kaaba se aawaaz aane lagi

yeh sa-aadat sirf aamina ke liye
inka aangan saje mustafa ke liye
jo hain darmaan gham e la-dawa ke liye
aasiyon bekason pe ata ke liye

khushk hoton par taraane aa gaye
shah dawani ke zamaane aa gaye
bekason ko poochta hi kaun tha
bekason ke naaz uthaane aa gaye

nek bandon mein jaaho hasham baantne
khulkadon mein bahaar e kiram baantne
ham se mangton mein lutfon karam baantne
aaj apne paraaye ka gham baantne

laaye tashrif sultaan e kono makaan
taajdare haram sayyid e mursalan
noor e haq mein nahaane lage do jahaan
bole jibreel kaabe se dekar azaan

roshni deen fitrat ilaahi gayi
raah insaan ko seedhi dikhayi gayi
ab jahaan se buton ki khudaayi gayi
har kisi ko khabar ye sunaayi gayi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil