sahar qareeb hai taaron ka haal kya hoga

karaar loot liya bekaraar chchor gaye
bahaar le gaye yadein bahaar chchor gaye
hamari chashme hazeen ka na kuch khayaal kiya
wo umar bhar ke liye ashq baar chchor gaye

wo aa rahe hain wo ayenge aa rahe honge
shab e firaak mein yeh keh ke subah ki maine

sahar qareeb hai taaron ka haal kya hoga
aye chalne waale aur zara do kadam sahi

aye shama subah hoti hai roti hai kis liye
sahar qareeb hai

sahar qareeb hai taaron ka haal kya hoga
ab intezaar ke maaron ka haal kya hoga

unko aana tha na aaye kaut kar
ab intezaar ke maaron ka haal kya hoga

gar girata nahi thaamne ka 
faayda kya is qadar bahaane ka

teri nigah ne zaalim kabhi yeh socha hai
kisi ke dil mein rahi aur kisi ke paar gayi

karun tareef kya teri nazar ki
ke lakhon ghayal jidhar gayi

teri nigah ne zaalim kabhi yeh socha hai
teri nigah ke maaron ka haal kya hoga

mukabla hai tere husn ka bahaaron se
aaena utha le aaye aur aqs se ye bole

tabassum zer e lab hai aaeena mat e mukabil hai
tamasha deed bhi hai saamne kaatil ke kaatil hai

barabar khafa ho barabar manaye
na tum baaaz aao na ham baaz aayein

udhar zulfon mein kanghi ho rahi hai kham nikalta hai
idhar rag rag se khinch khinch kar hamara dam nikalta hai

ilahi khair ho uljhan pe uljhan padhti jaati hai
na unka kham nikalta hai na mera dam nikalta hai

mukabla hai tere husn ka bahaaron se
na aaj bahaaron ka haal kya hoga

naqaab unka ulatna toh chaahta hun magar
mera kya gulshan e bahar mein 
main rha toh kya na raha toh kya rahe

yun dekh toh le pehle jo hoga so dekhenge
aye dast e talab badhkar sarka de naqaab unka

mehfil mein toh hain lekin ghunghat kiye baithe hain
allah reh shaam unki reh hijaab unka 
wo kyun na karein parda rukh unka naqaab unka

naqaab unka ulatna toh chaahta hun magar
bigad gaye toh nazaaron ka haal kya hoga

mazaak e deed hi sahba agar badal jaaye
toh zindagi ki bahaaron ka haal kya hoga

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha