ek sharab ki botal mein

band hua saara maikhaana
ek sharab ki botal mein
kaun yeh samjha kaun yeh jaana
ek sharab ki botal mein

kitni khushiyan kitne gham hain
dekho iss maikhaane mein
dil ke jalon ka hai afsaana
ek sharab ki botal mein

badmasti ki daulat ko
apne paas nahi rakhna
apne aansu mat tapkaana
ek sharab ki botal mein

band kitaabon ke jaise hain
itne ismein deewaane
tum isko ghar mat le jaana
ek sharab ki botal mein

riithte hain sab apne paraaye
nazron se bhi girte hain
noor ko hai itna samjhaana
ek sharab ki botal mein

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha