dhalegi raat aayegi sahar aahista aahista

dhalegi raat aayegi sahar aahista aahista
piyo un ankhdiyon ke naam par aahista aahista

dikha dena use zakhm e jigar aahista aahista
samajh kar soch kar pehchaan kar aahista aahsita

abhi taaron se khelo chandni se dil ko behlao
milegi uske chehre ki sahar aahista aahista

yakayak aise jal bhujhne mein lutf e jaan kuni kab tha
jale ik shamma par ham bhi magar aahista aahista

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha