quran hai goya hu ba hu

aam hain rehmatein zamaane par
rehmaton ka koi hisaab nahi
tere qurbaan ya rasool allah
tera konain mein jawaab nahi

ya aiyohal muzam e ru
kis khulq ka paikar hai tu
quran hai goya hu ba hu

chehra tera quran hai quran ke sadke
aye mailk e aalam main teri shaan ke sadke

itni khuli hai hum pe haqeeqat tere rukh ki
allah bhi karta hai talaawat tere rukh ki

konain mein tu baad e khuda hai harfe o aala
konain ke har goshe mein hai tujhse ujaala
quran ko hum padhte hain az raaz e haqeeqat
quran tujhe padhta hai aye sayyis e waala

hasti teri khair ul ummam
tu hai imaam ul ambiya
jalwa tera noor e kiram
tu mazhar e zaat e khuda
aankhein hain maaza ul bashar
wallail hai zulf e do za
badr ud duja shams ud duha
padhne se ukba khul gaya

ankh uthti hai to milta hai talaawat ka maza
tera chehra hamein quran nazar aata hai

kehte hain log sahib e quran aapko
lekin meri nigah mein quran aap hain

kishwar kusha e bahro bar
ehsaan hai tu sar basar
tu har zabaan ki aabru

tu qayanaat e husn hai
teri zakaat e husn hai
yeh aab o dil ye rang o bu

sab rang hain ik rang se
batla diya kis dhang se
dilbar bitha kar nakshe hu

khaabon mein aakar muskura
bedaariyon ko jagmaga
aye aamina ke baaharu

chehra tera takta rahoon
tujhse teri baatein sunoon
rakhta hoon main bhi aarzu

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil