sarkaar mujhe daaman e rehmat mein chchupaalo

ya rab butfaile rasool sakhaya
ya rab butfaile hatahe bajr hunain
mara hissa kun dar e rasat
nive bahassan baksh mi bahussain

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

har nafas ishq e muhammad ka bayaani kar do
zindagi mit ke muhabbat mein tawaabi kar do
baadshaahi hai agar dono jahaan ki darkaar
doston aao muhammad ki ghulaami kar do

hashar ka din hai mere aib khule jaate hain
laaj rakhna meri sarkaar madine waale

aasi hun sarre hashar meri laaj nibhaado
sarkaar mujhe daaman e rehmat mein chchupaalo

kamli wale sarre mehshar mera parda rakh le
aaj ke din tere mujrin ko nizamat hai badi

achcha nahi khota hoon khote ko nibhalo
sarkaar mujhe daaman e rehmat mein chchupaalo

gar tum na sambhalo to mujhe kaun sambhaale
sarkaar mujhe daaman e rehmat mein chchupaalo

suno suno mere haajat rawa rasool allah
main de raha hoon sada pe sada rasool allah

mere dil par meri soorat pe hain kya le aaya
raah mein chchor gaye kaafil e waade aaya
roosiaakar mere aib khule jaate hain
kamli wale mujhe kamli mmein chchupaale aaja

bura hoon bhala hoon jaisa bhi hoon
daaman e rehat mein chchupa lo

mujh sehakaar ko mehshar mein na bulwaayein huzoor
rooseya saamne jaate hue sharmaata hai

bahr e gham e isiyaan mein kahin doob na jaaun
sarkar e jahaan mere safeene ko bacha lo

aasi hun khataakar hun lekin hun tumhaara
sarkar e do aalam mujhe daaman se laga lo

apne daaman mein mujhko chchupaalo
hashar ki har saza se bacha lo
main bura hoon gale se laga lo
sarkar e do aalam mujhe daaman se laga lo

meri bigdi bhi bana sadka hassan naam e hussain
kar karam khatoon e jannat faatima ka waasta
shaamat e kamaal se jo ho chuka hun roosiya
dekh tu apne karam ko mere aibon par na ja
zaahidon ko naaz hai apne mataye zohad par
mujhko kaafi hai faqat tere karam ka waasta
ya shabib ul mustafi aye chara saaz e do jahaan
main khata ki inteha hoon tu ata ki inteha

gardish hai mere saamne dushwaar hai raasta
girta hoon mujhe sarwar e konain sambhaalo

do bhikh nabi ji mujhe hasnain ka sadka
khairat e karam daaman e mohtaj mein daalo

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha