taiba ki hai yaad aayi ab ashq bahaane do

ajab hai kaif ajab hai khumaar ankhon mein
basa hua hai nabi ka dayaar ankhon mein
jab aayi yaad e madina to aanuon ki tarah
chchupa liya hai usse bekaraar ankhon mein

taiba ki hai yaad aayi ab ashq bahaane do
bahaaron phool barsao madina yaad aaya hai
ghataon phool barsao madina yaad aaya hai

aayi nasi mein koo e muhammad
sallallah o alaihai wasallav
khinchne laga hai dil soo e muhammad
sallah o alaihai wasallav

allah allah madina jo kareeb aata hai
khud bakhud sar baya tasleem jhuka jaata hai

baahare shauk jo aata hai ziarat ka khayal
dil tadap kar mere pehlu se nikal jaata hai

dono betaab hain hazrat ki ziarat ke liye
dil ko samjhaata hoon main
dil mujhe samjhaata hai

taiba ki hai yaad aayi ab ashq bahaane do
mehboob ne aana hai raahon ko sajaane do

mushkil ho agar mera taiba mein abhi jaana
aye baat e saba meri aahon ko toh jaane do

jo chaaho saza dena mehboob ke darbaanon
ik baar toh jaali ko aankhon se lagaane do

sarkaar ke kaabil yeh alfaaz kahaan 'Sayim'
ashqon ki zubaan se ab ik naat sunaane do

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha