teri shaan e karam ka tujhe waasta

fareed uddin ki chaukhat pe dil qurban hai mera
issi chaukhat ki nisbat deen hai imaan hai mera
tere dar ke ghulamon mein mera bhi naam aa jaaye
yahi meri tamanna hai yahi armaan hai mera
fareed uddin ki nisbat bacha leti hai har gham se
bade lajpaal hain baba bade imaan hain mera
mere baba ki chaukhat se hi maang maangne waalon
khuda milta hai is dar pe yahi eelaan hai mera
fareedi hun meri nisbat hai baba se
main naazan hun ke rakhwala bada zeeshan hai mera

pushtagane ishq ke sartaaj hain ganj e shakar
iltaqa e zohad ki mairaj hain ganj e shakar
aashna e ramz e behdat paikar e khulq e azeem
benawaon bekason ki laaj hain ganj e shakar

inayat hai yeh sab ganj e shakar ki
ghulami mil gayi baba ke dar ki
yeh sab ejaaz hai unki nazar ka
wo saabir ban gaya jispe nazar ki

ukba fareed ki hai zamaana fareed ka
har dil hi bann gaya hai thikaana fareed ka
jannat jo arsh par hai toh darwaaza farsh par
jannat bhi dhoondhti hai bahaana fareed ka

ham jab namaaz padhte hain deeewangane ishq
rakhte hain har rakoo mein nishaana fareed ka
meri farkeer e qadri nisbat hai aapse
kehti hai khalq mujhko deewana fareed ka

teri shaan e karam ka tujhe waasta
meri bigdi bana aaj ganj e shakar

aas lekar mein aaya hoon darbar mein
haath tere meri laaj ganj e shakar

noor e wahdat ka jalwa tere ghar mein hai
husn e taiba ki tal-at tere ghar mein hai

tu hi dehli mein hai tu hi kaliyar mein hai
tera waliyon pe hai raaj ganj e shakar

tu sahaara mera besahaara hun main
baba de dar ton khali nahi jaana
ro ro ke apna dukhda sunauna

bulle de wangu soorat wata ke
nach nach ke apna baba wachauna

takhtan de waali tere sawaali
hazaron baadhsha aaye gaye har saltanat badli
na badli hai na badlegi hukoomat mere baba ki

sun paak pataan deya sayiyan
dawaara tera rabb warga

tenu khalq paresan aayiyan
sawaara tera rabb warga

takhtan de waali tere sawaali
jhukda e ethe saara zamaana

tu sahaara mera besahaara hun main
aasra tu hai ik toota taara hun main

tu hai aaka mera tu hai maula mera
main hun miskeen mohtaj e ganj e shakar

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha