raat ki teergi se na maayoos ho

meri chashm e alam namnaak karde
mujhe alaaishon se paak karde
mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab
ghulam e sayyid e laulaak karde

teri sana ke khuda banda lazayal hai tu
yahi misaal hai teri ke bemisaal hai tu
tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai
yeh shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam aatishe do zakh
jis shakhs ke ho lab pe likha naam e muhammad

main dayaar e haram se badal nahi sakta
khayaal dil se nabi ka nikal nahi sakta
dar e huzoor se main hargiz tal nahi sakta
fakeer gair ke tukdon pe pal nahi sakta

shaam e badi andher se mayoos tu na ho
aisi wo shab hai kaunsi ki sahar na ho

raat ki teergi se na maayoos ho
roshni ka sitaara nazar aayega
jab muhammad safeene ka hai nakhuda
har bhanwar mein kinaara nazar aayega

doob jaane ke jab aasaar nazar aate hain
kaali kamli mein wo sarkaar nazar aate hain

jo muhammad ya muhammad
keh ke baitha ho doob sakta nahin

doob sakta nahin toofan ki kisi andhi mein
jis ki kashti ho muhammad ki nigahbaani mein

aye sahib e kashti fikar na kar
main toofan mein dooba chala jaa raha tha
to peer e kareem ne yeh keh ke pukaara

aye sahib e kashti fikar na kar
sarkaar madad ko aayenge
toofanon ke rukh badal jaate hain
jab unki inaayat hoti hai

mere haami hai wo toh khwaja piya
hain madadgaar mere shah e ambiya
mere dushmanon na chchedo mera hai jahaan mein koi
main abhi pukaar loonga nahi door kuch madina

mera kya bigaad lega ji khilaaf hai zamaana
mere saath hain muhammad mere bas mein hai khudayi

mere haami hai wo toh khwaja piya
hain madadgaar mere shah e ambiya
ye ghulami sahaaron ke hote hue
tum zara besahaara nazar aayega

hazaaron mein nahi lakhon mein yakta bann ke niklenge
muhammad hashar ke maidaan mein dulha bann ke niklenge

tum jo dekhoge hairaan ho jaaoge
haqeeqat jinki mmushkil thi
tamaasha bann ke niklenge
jisse kehte ho banda gul o allah
banda bann ke niklenge

libas e aadmi kehna jahaan aadmi samjha
musavvir bann ke aaye the tajallah bann ke niklenge

aye farishton wo sultan e mairaaj hain
tum jo dekhoge hairaan ho jaaoge
zulf tafseer wallail bann jayegi
chehra quraan saara nazar aayega

jab gunahgaar mehshar mein ghabraayenge
koi ghamkhaar apna nahi payenge
kaali kamli ko kandhe pe daale hue
aamina ka dulaara nazar aayega

jab ke soorat sawaan lekar aayega
pyar se har gunahgaar ghabraayega

mehshar mein wohi jism khareedenge muhammad 
jis jism ka koi bhi khareedaar na hoga

karam bann kar wafa bann kar shafa bann kar ata bann kar
khuda ka noor guzra aasmaan se mustafa bann kar

ajje roza nabi da badi door si
mainu raahwan ch kalleyan hi raat aa gayi
besahaara si main te nakaara si main
jaan main ditha muhammad di daat aa gayi

tori har har ada ko main jaan gayi re
mora dil kya gaya mori jaan gayi re
tu jo aaya kamaliya ko ode hue
roop badle to kya main pehchaan gayi re

jab se suna hai yaar libas e bashar mein hain
ab aadmi kuch aur hamaari nazar mein hain

hazaaron saal raha arsh par khuda bann kar
utar pada wo madine mein mustafa bann kar

meri wahdat e nazar thi ke fareb mein na aayi
wo hazaar baar aaye par pairahan badal kar

e meh kise na mehboob a oh alif da roop ghat aaya
oh yaar walon aat waala koi hun bhes wata ke was aaya
sohna meem da burka pehan ke je keh zulfan de kundal saj aaya
kadi haazira kadde aahad si hun ahmad bann ke bas aaya

jab gunahgaar mehshar mein ghabraayenge
koi ghamkhaar apna nahi payenge
kaali kamli ko kandhe pe daale hue
aamina ka dulaara nazar aayega

Comments

  1. Assalaamu alaikum, Can you please post a brief English translation of this Qawwali.

    Thank you.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil