mamba e jood o sakha khwaja firozuddin hain

mamba e jood o sakha khwaja firozuddin hain
bekason ka aasra khwaja firozuddin hain

teri soorat ki talaawat farz hai mere liye
jalwa e noor e khuda khwaja firozuddin hain

haq ke taalib ho agar toh badhkar unka daaman thaam lo
raah e haq mein rehnuma khwaja firozuddin hain

noor e irfan se munawwar kyun na ho meri nazar
saamne jalwanuma khwaja firozuddin hain

aye deewano zara kar lo ziarat mere khwaja ki
saamne jalwanuma khwaja firozuddin hain

sar pe hai taaj e walayat dil jamaal e ek bhi
aabru e auliya khwaja firozuddin hain

unke dar se bheekh maango jholiyaan bhar jaayeingi
na idhar se maango na udhar se maango

unke dar se bheekh maango jholiyaan bhar jaayeingi
markaz e faiz o ata khwaja firozuddin hain

azmat e shahi ghulaamo ko ata ki aapne
kya sakhi hajat rawa khwaja firozuddin hain

uski duniya hi badal di jispe ki abr e karam
faiz e mehboob e khuda khwaja firozuddin hain

bas inhi ke dar ki nisbat hai fana meri namaaz
kibla o kaaba mera khwaja firozuddin hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil