sultaan e arab sayyid e abraar tumhi ho

ya rab ba tufail e rasool us saqlain
ya rab ba tufail e fatahe badr o hunain
isiyan e mara do hissa kun dar ara saat
neem e ba hasan ba baksh neem e ba hussain

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atish e do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

rab ne farmaaya meri kudrat ki hadd koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi
jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya
aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi

hadd e tauseef se bhi naam hai baala tera
ke khuda aap hai chaahne waala tera
tere sadke hui manzoor dua e aadam
roz awwal hi tha maujood ujaala tera

sultaan e arab sayyid e abraar tumhi ho
ummat ke nigahbaan meri sarkaar tumhi ho

jeete hain bharose pe tere chaahne waale
gar tum na sambhaalo toh hamein kaun sambhaale

aye khaasa e khaasaane rasool waqt e dua hai
ummat pe teri aake ajab waqt pada hai

aye gharibon ke nigahbaan kahan hai aaja
aaja ummat ke nigahbaan kahan hai aaja

teri ummat hai pareeshan kahan hai aaja
leke phir hathon mein quran kahan hai aaja

maayil ba karam ahmad e mukhtaar tumhi ho
mushkil mein gharibon ke madadgaar tumhi ho

punji tumhein di apne khazaanon ki khuda ne
mehboob kiya maalik o mukhtaar banaaya

aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya
yusuf ko tera taalib e deedar banaaya
konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir
konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya

konain mein tum jaisa haseen koi nahi hai
shaida hai khuda jiska woh dildaar tumhi ho

tum se hi sarre hashar meri aas lagi hai
paas kuch bhi to nahi ashq e nizaamat ke siwa
jurm e behadd ke siwa daaman e rehmat ke siwa

main deewana hoon mere paas mehshar mein khade rehna
najaane kya kahun main aur kya pooche khuda mujhse

mujh gunahgaar ko mehshar mein na bulwaayein huzur
roosiya saamne aata hue sharmaata hai

hashar ka din hai mere aib khule jaate hain
laaj rakhna meri sarkaar madine waale

koi kisi ka koi kisi ka
par ik tumse meri aas lagi hai

tum se hi sarre hashar meri aas lagi hai
mehshar mein gunahgaar ke ghamkhwaar tumhi ho 

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil