nabi ke naat sahaara hai zindagi ke liye

meri chashme alam namnaak karde
mujhe alaaishon se paak karde
mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab
ghulam e sayyid e laulaak karde

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atish e do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

aaya labon pe zikr jo khairul anam ka
sauda hua buland durood o salaam ka
mujh par nisaar hone lagi mastiyan tamaam
main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka

nabi ke naat sahaara hai zindagi ke liye
bani hai saari khudaayi mere nabi ke liye

yeh zameen aasmaan yeh makaan lamakaan
bani hai saari khudaayi unke liye

khuda agar muhammad ko paida na karta
kasam hai khuda ki khudaayi na hoti

dono jahaan ka noor muhammad ke roop mein
quran ka shaoor muhammad ke roop mein
allah ka zahoor muhammad ke roop mein
sach hai ke yeh taghayyur e duniya khuda se hai
lekin yeh qayanaat faqat mustafa se hai

kabhi toh khwaab mein aa jaao ya rasool allah
suna hai aap har aashiq ke ghar tashreef laate hain
mere ghar mein bhi ho jaaye charaagan ya rasool allah

kabhi toh khwaab mein aa jaao ya rasool allah
meri bhi neend sanwar jaaye do ghadi ke liye

huzoor roye hain ummat ke waaste jaise
hai kaun rota zamaane mein yun kisi ke liye

rasool e paak ki ulfat meri ibaadat hai
dar e rasool hi kaafi hai bandagi ke liye

tumhaari naat ke naghme hain mere honton pe
mera to jeena hai sarkaar aap hi ke liye

khuda hi jaane ke 'Sayim' ka haal kya hoga
sambhaal rakhe hain sajde teri gali ke liye

Comments


  1. اور جو شخص اللہ اور اس کے رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی اطاعت کرتا ہے اور اللہ سے ڈرتا اور اس کا تقوٰی اختیار کرتا ہے پس ایسے ہی لوگ مراد پانے والے ہیں
    Hafiz Ahmed Raza Qadri Naats

    ReplyDelete
  2. Thanks for the blog post buddy! Keep them coming... Ashy Crzy

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha