hamein teri ada ne maar daala

hamein teri ada ne maar daala
saaf chhupte bhi nahi saamne aate bhi nahi
khoob parda hai ke chilman se lage baithe ho

aate hi mujhe tumne kuch karke ishaara
auron ko kiya bismil mujhe jaan se maara

tumhein husn o ada o naaz dekar
khudaayi ko khuda ne maar daala

kasam khaata hun main teri jafa ki
mujhe teri jafa ne maar daala

uda laayi hamein kaatil ke ghar tak
muhabbat ki hawa ne maar daala

ehle dair o haram reh gaye hain
bann ke tasveer e gham reh gaye hain
khoye khoye se ham reh gaye hain
baant li sab ne aapas mein khushiyaan
mere hisse mein gham reh gaye hain
ab na uthna sarahne se mere
ab to ginti ke dam reh gaye hai
dekh kar unke mangte ki gairat
dang ehle karam reh gaye hain
unki sadtaariyan kuch na poocho
aasiyon ke bharam reh gaye hain
aye saba ek zuhmat zara phir
unki zulfon mein kham reh gaye hain
qayanaat e jafa o wafa mein
ek tum ek hum reh gaye hain
aaj saaki pila shaikh ko bhi

wo bhi thodi si jo in ankhon ke paimaane mein hai saaki pila

dar se na taal saakiya sadka diye bagair
maikash ne aaj jaane ka hargiz diye bagair
khum ke khum muh se laga de tere maikhaane ki khair

ek do jaam se saaki mera kya bannta hai

saaki sharaab la ke tabiyat udaas hai
musrab rabaab utha ke tabiyat udaas hai
chubhti hai talb o jaan meni sitaaron ki roshni
aye dost muskura ke tabiyat udaas hai

lehra ke jhoom khoom ke la muskura ke la
phoolon ke ras mein chaand ki kirne mila ke laa
kyun ja rahi hai rooth ke rangeen yeh bahaar
ja ek martaba phir ise bargala ke la
saagar shikan hai shaikh bhala nosh ki nazar
sheeshe ko zer e daaman e rangeen chhupa ke le
kehte hain umr e rafta kabhi laut ti nahi
ja mere jawani utha ke la

thodi de de bahuti de de mangda nahi gulabi
kann khol ke sunn lai meri main te nahi wahabi

lokan nu tu mast banaunda sanu denda laara
kann khol ke sunn lai meri waddeya theke daara

teri tang dili ton saaki di lhai sir ke kole
ki takseer hoyi mastan ton luk luk bainda e ohle

aaj saaki pila shaikh ko bhi
ek yeh mohtaram reh gaye hain

rehke tasveer e maajhi ki yaadein
aye 'naseer' ek ham reh gaye hain

teri seedhi nazar se bach gaya main
magar baaki ada ne maar daala

marz kuch tha mujhe daru hua kuch
tabeebon ki dawa ne maar daala

Comments

  1. "unki sadtaariyan kuch na poocho
    aasiyon ke bharam reh gaye hain"

    What is the meaning of these two line?

    ReplyDelete
    Replies
    1. As far as I know

      unki sadtaariyan kuch na poocho
      Don't ask about his blessings

      aasiyon ke bharam reh gaye hain
      despite us being sinful, he has kept our wishes

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil