tere haath mein haath hai mera

na haram ki justju hai na khayaal e butkada hai
teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai

main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai
jo mila nahi haram se tere dar se mil gaya hai

sajdon ke liye baab e karam dhoondh liya hai
aye yaar tera nakshe kadam dhoondh liya hai

kaabe mein koi sar ko jhukaaye toh hamein kya
hamne tera darbar e karam dhoondh liya hai

kaabe mein jise dhoondhne jaata hai zaamana
butkhaana e dil mein wo sanam dhoondh liya hai

tere haath mein haath hai mera
yeh duniya ki baat nahi

tum mere saath saath rehte ho
jaan e jaan aur zindagi kya hai

taraaf e aalam hai aakhiri safar ko bhi
hamaesha tumne hamaara khayaal rakha hai

mujh benawa ke waaste ye bhi to kam nahi
haathon mein tera haath hai ye bhi to kam nahi

halaat khaaha kuch bhi hon lekin mutmayin
hai haath tere haath mein bandanawaaz hai

tumne apna bana liya hai mujhe
ab mere waaste kami kya hai

na tumsa koi sakhi hai na tumsa bandanawaaz
hamesha tumne hamaara khayaal rakha hai

yeh teri bandanawaazian hai ke mujhpe aisa karam kiya
banaake apna fakeer tune gham e jahaan se bacha liya

sunnke jo meri iltaja has ke gale laga liya
tune bada karam kiya apna mujhe bana liya

teri nisbat se zamaane mein bharam hai mera
mere sarkar mujhe apna banaaye rakhna

gahe naseeb teri khaak e aastaan hun main
khuda ka shukr hai kya cheez hai kahan hoon main

tere haath mein haath hai mera
yeh duniya ki baat nahi
tere karam ki baat hai warna
meri kuch aukaat nahi

khaate the thokarein jo zamaane ke the gada
teri gali mein aaye toh sultan bann gaye

bahut udaas thi duniya mein zindagi meri
karam jo tera hua baat bann gayi meri

teri nisbat ko dil nisaar mera
teri nisbat ki baat hi kya

yeh tera husn e karam hai baba
ke yun mujhe aasra diya hai
piroh ke apni laddi mein tune
har ek gham se chhuta liya hai

ishq ki baazi woh baazi hai
haar ke jeeti jaati hai

pehle apna aap gawauna
pher yaar ne jhaati paauni

taaseer ulti dekhi hai muhabbat ki raah mein
is raaste mein jeetne waale ko maat hai

baazi kheli prem ki main khelun pee ke sang
jeet gayi toh piya more haari pee ke sang

dhugga dhugga apna
pher sahib da mel

har aur heera ek hain gur heere ki khaan
je sir ditta guru mile taan vi sasta jaan

baara maange nau pade kaise karun pukaara
nard hamaari kachi hai ghar door hamaara

piya de agge assi tann mann haareya
yeh ishq ki baazi haar ke jeeti jaati hai

ishq ki baazi hai woh baazi hai
haar ke jeeti jaati hai
aap yeh samjhe maat hui hai
mere liye yeh maat nahi

 is raaste mein jeetne 
waale ko maat hai

ishq ki baazi hai wo baazi 
haar ke jeeti jaati hai

yeh baazi ishq ki baazi hai
chaaho to luta do sab kuchh apna

jaisa raha jahan bhi raha jis jagah raha 
dil ki nazar se teri taraf dekhta raha 

bhikha sar raakhe sar jaat hai jo sar kaate sar ho 
jaise baati deep ki sar kate ujaala ho 

teri shaan e bandanawaazi 
saare jahan mein hai mashhoor
jisko chaahe usko nawaaze
tere liye kuchh baat nahi

meri zubaan e dil pe hardam
zikr tera hai naam tera
jis mein teri yaad na aaye
woh mere din raat nahi

teri yaad mera darmaan
tera zikr bandagi hai
tu mila hai jabse mujhko
meri baat bann gayi hai

meri taskeen mere dard ka darmaan tu hai
mere baba mere sukh ka samaan tu hai

meri aankhein hain faqat teri ziarat ke liye
mera mazhab mera iman mera quran tu hai baba

din ko khayal mein rehna taare ginna raaton ko
duniya waale kya samjhenge dil waalon ki baaton ko

yeh bhool bhi kya bhool hai yeh yaad bhi kya yaad
kuchh bhi toh nahi teri muhabbat ke siwa yaad

yaad teri bhula sakun kaise
yahi le de ke ik sahaara hai

tabiyat jab kabhi sunsaan raaton mein jo ghabraaye
ham aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain

aap zara tashreef toh laayein
aap zara zehmat toh karein
aapko ham jaan pesh karenge
aur koi saugaat nahi

teri ik nigah ki keemat
meri saari zindagaani

jaan e ma jaanane maa sultan e ma
yak nigahat keemat e eemaan e ma

jaan bhi di hui tumhaari hai
haq toh yeh hai haq ada na hua

faizan e aql honge magar mujhko isse ke
dil ke muamalat hain mere dil ke

kar kubool ufdastdahe kismat pe karna kya gila
dil ke tukde tukde chunnkar nazar karne laaye hain

ankhiyan da baazaar saja ke 
dil de vehde vich saja ke 

tum aaye ghar mein hamaare khuda ki kudrat hai
kabhi ham khud ko kabhi apne ghar ko dekhte hain

mere dil ke har goshe mein
tum hi tum ho jalwanuma
meri muhabbat ke gulshan mein
aur kisi ki baat nahi

gair dekha hai na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazron ne faqat teri nazar dekhi hai

maine woh kufr kiya kufr bhi kufr e aazam
teri soorat ke siwa aur agar dekhi hai

tassawur se dil o jaan mein 
ujaala kar liya maine

tarafdaar e muhabbat ki muhabbat hi shariat hai
kisi ko yaad karke aah kar lena ibaadat hai
meri deewangi par hosh waale behas karte hain
magar pehle unhein deewana banne ki zaroorat hai
jahan woh hain wahan main hooon jahan woh hain wahan dil hai
magar pehle makaam e dil samajhne ki zaroorat hai

pooja karun tumhaari hai shauk mere jee ka
dil ke muaamle mein kyun dakhal ho kisi ka

mann ke mandir mein teri tasveer ki pooja karun
tu mujhe dekhe na dekhe main tujhe dekha karun

jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha

jis taraf dekha makaam e hu nazar aaya mujhe
kuchh nazar aaya na jab tu nazar aaya mujhe

wasl bhi yeh ajeeb hai 
dekh sakun na tumko main ab yeh mera naseeb hai

ab tu hi tu hai aur tera partav e jamaal
mera wajood beech mein haayil nahi raha

dil hai sanamkhaana mera jab se basi soorat teri
kaafir hoon tere ishq mein masliq hai mera kaafiri

kajal darun kirkara jo surma diya na jaaye
jin nainan mein piya basse bhala duja kaun samaaye

mujhko tune apna banaaya
gham se nawaaza dard diya
teri zaat e paak ke sadke
tujh jaisi koi zaat nahi

dekha bahut nigah e talab ko mila nahi
tumse tumhi ho tumsa koi doosra nahi

hazaar baar jo dast e talab daraaz kare
tu wo kareem hai har baar sarfaraaz kare

mere dil pe kya guzri
tumse bichhad kar furqat mein
rehne do yeh baat na poocho
yeh kehne ki baat nahi

'Saadik' tere dar ka gada hai
nusrat tere dar ka gada hai

koi kisi ka koi kisi ka
noori bori waale baba

dar e gair pe kyun jaaun
main gada toh hun tumhaara
hai yeh laaj bhi tumhaari
hai yeh fakeer bhi tumhaara

'Saadik' tere dar ka gada hai
is par bhi ho chashme karam
bakhsh de apne husn ka sadka
aur koi khairaat nahi 

tujhi se maangta hun
aur tumhi ko maangta hun

mujhko shaahi ki tamanna hai
na takht o taaj ki baksh de apne husn ka sadka

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha