har husn mein har rang mein tu jalwanuma hai

har husn mein har rang mein tu jalwanuma hai
mehar o mah o anjum mein tere rukh ki ziya hai

taabinda tere noor se hai daaman e iman
tu asl e karam rooh e yakeen shamm e huda hai

aye husn e azal khatm e rasul noor e mujassam
khatm e rasul mukhtaar e kul nabiyon ka tu sultan hai
soorat teri husn e azal tujhpe jahaan qurbaan hai

khatme rasul khairul amal koi nahi tera badal
aaeena e husn e adal tere siwa koi nahi

aye husn e azal khatm e rasul noor e mujassam
tujhsa koi duniya mein na hoga na hua hai

phire zamaane mein chaar jaanib nigar e yakta tumhi ko dekha
haseen dekhe jameel dekhe par ek tumsa tumhi ko dekha

tumhara saani rasaalat ma aab ho na saka
tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka

aam hain rehmatein zamaane par rehmaton ka koi hisaab nahi
tere qurbaan ya rasool allah tera konain mein jawaab nahi

tujhsa haseen nahi na hi teri misaal hai
tera jamaal ain khuda ka jamaal hai

teri hi taraf uthti hain maayoos nigahein
tu wajah sukoon raahat e ja jaan e wafa hai

betaabi e jaan souz e nihaan daulat e irfaan
kya kya teri dargah se inaam mila hai

haafiz tujhe kehte hain sana khaane muhammad
yeh sayyid e abraar ki idhat ka sila hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil