wajah takhleek e arz o sama aap hain

ya rab ba tufail rasool us saqlain
ya rab ba tufail e fatahe badr o hunain
isiyan e mara do hissa kun dar a rasaat
neem e bahassan baksh neem e bahussain

paikar e noor ki tanveer ke sadke jaaun
apne khwaabon ki main taabeer ke sadke jaaun
aashikaara hai tere husn se haq ki soorat
mere aaka teri tasveer ke sadke jaaun

na azal ka zikr na abad ki baat hoti
na yeh mehermaan hote na yeh din na raat hoti
mere mustafa na hote to wajood e kul na hota
mere mustafa na hote na yeh qayanaat hoti

wajah takhleek e arz o sama aap hain
bakhuda bakhuda aur koi nahi

ya nabi mustafa ya habib e khuda
aap sa doosra aur koi nahi

takhleek qayanaat ka sabab zaat e muhammad
dee kaadir e mutlak ne gawahi pe gawahi

daaman e aarzoo aaj bhar dijiye
sakhi dar se agar khaali main laut jaaun
tumhi soch lo kya kahega zamaana

tere tukdon pe pala gair ki thokar par na daal
jhidkiyaan khaun kahan chhor ke sadka tera

daaman e aarzoo aaj bhar dijiye
ya nabi mohtaram laaj rakh lijiye

gham ka maara hun beshaara hun
kuchh bhi hoon aaka tumhaara hun

aap jaisa sakhi aur koi nahi
mere jaisa gada aur koi nahi

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil