is karam ka karun shukr kaise ada

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

jis dil mein muhammad ki muhabbat nahi hoti
us par kabhi allah ki rehmat nahi hoti
mera ayeh aqeeda hai agar zikr e khuda mein
yeh naam na shaamil ho ibaadat nahi hoti

andheri raat hai shams ud duha ki baat karo
sitaaron aao rukh e mustafa ki baat karo

naqeero baad mein koi doosra sawaal karo
khudaara pehle mere mustafa ki baat kari

main toh naadaan tha danistagi kya kya na ki
laaj rakh li mere lajpaal ne ruswa na kiya

is karam ka karun shukr kaise ada
jo karam mujhpe mere nabi kar diya

be bandagi ko unch kiya banda kar diya
taara mere naseeb ka taabinda kar diya

itni badi huzoor ki bandanawaaziyaan
mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya

main sajaata tha sarkaar ki mehfilein
mujhko har gham se apne bari kar diya

koi saleeka na aarzoo ka na bandagi koi bandagi hai
yeh sab tumhaara karam hai aaka ke baat ab tak bani hui hai

ata kiya mujhko dard e ulfat kahan thi yeh purkhata ki kismat
main is karam ke kahan tha kaabil huzoor ki bandaparwari hai

jab tak bika na th atoh koi poochhta na tha
tumne khareed kar mujhe anmol kar diya

gham e aashiqi se pehle mujhe kaun jaanta tha
muhabbat e mustafa se pehle main kuch nahi tha main kuch nahi tha
karam ki is inteha se pehle main kuch nahi tha main kuch nahi tha

yeh inaayatein yeh nawaazishein kahun kya ke mujhko hai kya diya
gham e mustafa tera shukriya mujhe marna jeena sikha diya

gham e aashiqi se pehle mujhe kaun jaanta tha
teri yaad ne bana di meri zindagi fasaana

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha