sakhi ka darbaar saj raha hai

jannaton ki kaleed ganj e shakar
rehmaton ki naweed ganj e shakar
mujh ko mehshar ka khauf ho kyun kar
hain mere ya fareed ganj e shakar

parda uth jaaye deed ho jaaye
ham ghareebon ki eid ho jaaye
jo padi thi nizaam o saabir par
wo nazar ya fareed ho jaaye

dekha bahut nigah e talab ko mila nahi
tumse tumhi ho tumse koi doosra nahi

sakhi ka darbaar saj raha hai
ghareeb khairaat paa rahe hain
utho fakeeron ke mere baba
karam ki daulat luta rahe hain

jo maango ge mil jaayega
jo chup rahega pachhtaayega

gar kuch na mile toh mera jimma
aao toh sahi mere baba karam ki daulat luta rahe hain

aye dekhne waalon zara gaur se dekho
karam ki daulat luta rahe hain

peene waale hain jo bhar bhar ke peeye jaate hain
aaj baba mere binn maange diye jaate hain

nabi ke noor e nazar hain baba
ali ke lakht e jigar hain baba
jo dar ke baba ke aa rahe hain
wo apni bigdi bana raha hain

jo tumko jannat ki aarzoo hai
ghulami ganj e shakar ki kar lo
haq ki taraf se rehmaton ki ye naweed hai
wo jannati hai jo ke ghulam e fareed hai

jo tumko jannat ki aarzoo hai
ghulami ganj e shakar ki kar lo
hai jannati har ghulam unka
payaam kaabe se aa rahe hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil