aap baithe hain baalin pe meri

dekh kar aapki jawaani ko
aarzoo e sharaab hoti hai
roz tauba ko todta hoon magar
roz niyat kharaab hoti hai

aapke waaste gunah sahi
hum piyein to sawaab banti hai
sau ghamon ko nichodne ke baad
ek qatra sharaab banti hai

tulu e subah tere rukh ki baat hone lagi
tumhari zulf jo bikhri to raat hone lagi
tumhari mast nazar ka khumaar kya kehna
nashe mein garq sabhi qayanaat hone lagi

kya talkh shaikh ki zindagaani guzri
ik shab na bichaare ki suhaani guzri
do zakh ke takhayyul mein budhaapa guzra
jannat ke tasawwur mein jawaani guzri

maiparasti meri ibaadat hai
main kabhi bewazu nahi peeta
main sharaabi sahi magar zaahid
aadmi ka lahu nahi peeta

sar jispe na jhuk jaaye use dar nahi kehte
har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte
kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte
kehte to hain lekin tere muh par nahi kehte
kaabe mein har ik sajde ko kehte hain ibaadat
maikhaane mein har ik jaam ko saagar nahi kehte
kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir
maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte

saaki ne mast e nargis e mastaane kar diya
aisi pilaayi aaj ke deewaana kar diya
arzo sama ko saagir o paimaana kar diya
rindon ne qayanaat ko maikhaana kar diya

badmast bargobar ne peena sikha diya
behki hui bahaar ne peena sikha diya
peeta hoon is liye mujhe jeena hai chaar din
marne ke intezaar ne peena sikha diya

aap baithe hain baalin pe meri
maut ka zor chalta nahi hai
maut mujhko gawaara hai lekin
kya karun dam nikalta nahi hai

yeh ada yeh nazaakat barahsin
mera dil tumpe qurbaan lekin
kya sambhaaloge tum mere dil ko
jab yeh aanchal sambhalta nahi hai

mere naalon ki sunn kar zubaane
ho gayi mom kitne chattaanein
maine pighla diya pattharon ko
ik tera dil pighalta nahi hai

shiakh ji ki naseehat bhi achhi
baat waaiz ki bhi khoob lekin
jab bhi chhaati hain kaali ghataein
bin piye kaam chalta nahi hai

dekh le meri maiyyat ka manzar
log kaandha badalte chale hain
ek teri bhi doli chali hai
koi kaandha badalta nahi hai

maikade ke sabhi peene waale
ladkhada ke sambhalte hain lekin
teri nazaron ka jo jaam pee le
umr bhar wo sambhalta nahi hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil