dayaar e madina gulistaan gulistaan

nagma e salle allah vird e zubaan rehta hai
har ghadi saamne rehmat ka sama rehta hai
jab madine ke dar o baam nazar aate hain
dil e betaab ko phir hosh kahan rehta hai

dayaar e madina gulistaan gulistaan
kis darja dil an mez madine ki faza hai
har zarra yahan mazhar e anwaar e khuda hai

yaad jab mujhko madine ki faza aati hai
saans leta hoon to jannat ki hawa aati hai

duniya nigah mein hai na ukba nazar mein hai
ab toh har ek lamha madina nazar mein hai

hoon mazhar e jameel sukoon o karaar ka
har zarra keh raha nabi ke dayaar ka

shehar e nabi hai markaz e altaaf e rang o noor
har ek shai mein jiski tajalli ka hai zahoor
har waqt jispe rehmat e parwardigar hai
aalam mein woh rasool e khuda ka dayaar hai

har shakhs kaamgaar hai har fardishaad hai
jo bhi dayaar e paak mein hai ba muraad hai

yeh maskane janaab e rasaalat mein aab hai
rehmat hai bepanah karam behisab hai

yeh dar hai darmande ghareeb o yateem ka
hota nahi hai band dar kareem ka

dayaar e madina gulistaan gulistaan
muattar muattar bahaaran bahaaran

madine ke sehra tajalli tajalli
madine ke galiyaan khayaaban khayaaban

bahisht e nazar sabz gumbad ke jalwe
hai roze ki jaali farozan farozan

sar ba sar aalam e anwaar nazar aata hai
daaman e roza e sarkaar nazar aata hai

rukh e mustafa hai tajalli ka mazhar
munawwar munawwar darakhshaan darakhshaan

falak sar ba sajda zameen sar ba zaanu
maho mer o anjum charaagan charaagan 

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil