maine poochha husn se ke dekha hai kahin

zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai
badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai
muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai
jahaan koi na kaam aaye wahan yeh kaam aata hai

bemisl hai kya shauk tera naayi hai
khaalik bhi fida khalq bhi shaidaayi hai
khaalik ne muhabbat mein niraale rukh se
sarkaar ke chehre ki kasam khaayi hai

maine poochha husn se ke dekha hai kahin sarkaar sa haseen
husn ne kaha dilbari ki kasam nahin nahin nahin

waliyon se jawaab unka poochha nabiyon ne misaal unki poochhi
kudsiyon ki anjuman mein maine azmat e jamaal unki dhoondhi

poochha jibraaeel se ke dekha hai kahin aisa shah e naazneen
bola jibraeel zaat e haq ki kasam nahin nahin nahin

yun hai qayanaat mein madina jaise ho angoothhi mein nagina
us gali ke zarre woh hain jinse zaufsa hai mer o maa ka seena

maine poochha arsh se ke dekhi hai kaheen madine se zameen
arsh ne kaha bartari ki kasam nahin nahin nahin

aadmi ko aadmi banaaya falsafa hayaat ka bataaya
doobte safeena e  jahan ko sahil e muraad par laagaaya

maine poochha khizr se falak ho ya zameen aisa hadi hai kahin
khizr ne kaha rehbari ko kadam nahin nahin nahin

lab mere hazoor ke hain aise bheekh jinki laal ho yaman se
narmi aur naazuki na poochha paani paani phool hain chaman ke

maine poochha phool se aye bagh ke makeen dekhe aise lab kaheen
phool ne kaha pankhuri ki kasam nahin nahin nahin

do jahaan ke taajdaar ho par phir bhi farsh e khaak par dai dauraan
poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen

poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen
fakhr ne kaha saadgi ki kasam nahin nahin nahin

zulf hai mere huzoor ki ya rehmaton ki surmayin ghataayein
gesuon ke pech keh rahe hain ham hi mujrimon ki hain panahein

maine poochha raat se ke dekhi hai kahin aisi zulf e ambarin
raat ne raab hi ki kasam nahin nahin nahin

ke khusa kamaal e mustafayi jalwagar hai zaat e qibriyaayi
woh dar e  huzoor hai ke 'Sajid' sajda rez hai jahan khudaayi

poochha maine jab ke tune dekhi hai jabeen aisa aastaan kahin  
boli yun jabeen bandagi ki kasam nahin nahin nahin

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha