lab pe jab saiyyad e aalam ki sana aati hai

nagma e salle allah vird e zuban rehta hai
har ghadi saamne rehmat ka sama rehta hai

lab pe jab saiyyad e aalam ki sana aati hai
ghir ke har samt se rehmat ki ghata aati hai

lab pe sarkar ka jo naam aaya
dil e betaab ko aaraam aaya

aaya labon pe zikr jo khair ul anaam ka
sauda hua buland durood o salaam ka

mujh par nisaar hone lagin mastiyaan tamaam
main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka

sukhan ko rutba mila hai meri zabaan ke liye
zabaan mili hai mujhe naat ke bayaan ke liye

apne daaman mein liye shahar e nabi ki khushboo
naaz karti hui taiba se hawa aati hai

unka jo kaul hai ejaaz hai subhanallah
unki yaadon se mujhe yaad e khuda aati hai

jab nazar uthti hai sarkar ke roze ki taraf
der tak dil ke dhadakne ki sada aati hai

yeh karam unka hai yeh unki ata hai warna
kisko tauseef e payambar ki ada aati hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil