pukaaro naam baba ka pukaaro

woh bhar jaata hai jholi
jo bhi inke dar pe aata hai
fareed ud din ke dar se
zamaana faiz paata hai

pukaaro naam baba ka pukaaro
milo ganj e shakar se beqaraaro

pukaaro ya fareed pukaaro
gham o andoh ke maaron
zindagi yun na guzaaro
dil se bas ya fareed pukaaro

karam hota hai uspe jo sage darbaar hota hai
bas unka naam lene se hi beda paar hota hai

yeh aisa naam hai pad jaati hai har kaam mein barkat
mere baba fareed ud din ke hai naam mein barkat

fareed zara si ho jaaye
duniya nu manaane di lor nahi

lagaao aaj sab naara fareedi
idhar aao sabhi tum besahaaron

sabhi kehte hain baba gham ke maare
abhi sab kaam bann jayein hamaare

zara sa rukh se tum parda utaaro
pukaaro naam baba ka pukaaro

karam baba ne duniya par lutaaye
nizam ud din aur sabir banaaye

lo khaaki tum bhi apni bigdi sanwaaro
pukaaro naam baba ka pukaaro

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil