dulhan bani bazme karam dulha bana daata piya

aamad hai yahan rasool e arabi ki
shadir rachi hai aaj mere daata ali hajveri ki

dulhan bani bazme karam dulha bana daata piya
nagar nagar mein karo munaati hai mere daata piya ki aaj shadi

dulhan bani bazme karam dulha bana daata piya
laaye madine se nabi sehra tera daata piya

noor se daata teri mehfil sajaane ke liye
murtaza aaye hain daata dulha banane ke liye

nazron ko shauk e deed hai mangton mein jashne eid hai
aaye hain khwaja baantne sadka tera daata piya

hai nisbat e maula ali tujhpe fida jaan e ali
mera haram teri gali aye pesh wa daata piya

chaukhat ko teri choom ke kehte hain sab mangte tere
tu hai sakhi ibn e sakhi ham hain gada daata piya

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil