milegi shaikh ko jannat hamein do zakh ata hoga

pi ke nazron se teri jaam uthaaya na gaya
aise madhosh hue hosh mein aaya na gaya

inhi khushkumaniyon kahin jaan se bhi na jaao
woh jo chaaragar nahi hai use zakhm kyun dikhaao

woh kahaaniyan adhuri jo na ho sakengi poori
unhein main bhi kyun sunaaun unhein tum bhi kyun sunaao

yeh judaayiyon ke raste badi door tak gaye hain
jo gaya woh phir na aaya meri baat maan jaao

kisi bewafa ki khaatir yeh junoon faraaz kab tak
jo tumhein bhula chuka hai use tum bhi bhool jaao

milegi shaikh ko jannat hamein do zakh ata hoga
bas itni baat thi jiske liye mehshar bapa hoga

bata dun ishq mein deewana bann jaane se kya hoga
woh beparda milenge parda deewane se kya hoga

hamein maaloom hai hamse suno mehshar mein kya hoga
sab usko dekhte honge woh humko dekhta hoga

jo kho baithe namaaz e ishq mein hosh o hawaas apne
hisab e roz e mehshar aise deewanon se kya hoga

samjhta kya hai tu deewangaane ishq ko zaahid
yeh ho jaayenge jis jaanib usi jaanib khuda hoga

dil ka haal hoga hashar mein aur aapka jaanam
shikayat ho ke shikwa jo bhi hoga barmala hoga

Comments

  1. kisi bewafa ki khaatir yeh junoon faraaz kab tak
    jo tumhein bhula chuka hai use tum bhi bhool jaao
    waaaaah waaaah

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha