ahmad ke ahad main kya samjhoon

konain ka masjood hai maabood hai tu
har shai teri shaahid hai ke mashhood hai tu
har ek ke lab par hai teri hamd o sana
har souz mein har saaz mein maujood hai tu

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

andheri raar hai shams ud duha ki baat karo
sitaaron aao rukh e mustafa ki baat karo
naqeer o baad mein koi doosra sawaal karo
khudaara pehle mere mustafa ki baat karo

yeh aql e kayarat se maayil sawaal hai
shaan e rasool e paak samajhna muhaal hai

ahmad ke ahad main kya samjhoon
woh hain parda e meem mein aur hi kuch
zamaana unko mustafa jaanta hai

khuda ke siwa koi kya jaanta hai
muhammad ka rutba khuda jaanta hai

ahad ahmad vich falak na bhuleya
ratti ik mehar marodi da

aye ishq tu bata
main muhammad ko kya kahoon

ahmad ke ahad main kya samjhoon
yeh kaun hai meem ke chilman mein

hazaaron saal raha arsh par khuda bann kar
utar pada woh madine mein mustafa bann kar

koi raaz haqeeqat ki samajhe
kya shaan arab de waali da
rabb aap madine aa baitha
jhumb maar ke kamli kaali da

yeh bhed wohi samjha jo ahl e nazar hai
baatin mein wohi aap hai jo zaahir mein bashar hai

iss bhed ke samajhne se aajiz hai ilm o aql
hamsa nahi khuda bhi nahi kya kamaal hai

amaama khade baandhte the shaah e sarfaraaz
jibreel se farmaaya ke aye mumnis o damsaaz
jis parda e wahdat se tujhe aati hai aawaaz
jaa kar to zara dekh ke poshida hai kya raaz
jibreel ne ki arz ke qudrat mujhe kya hai
mehboob ne farmaaya ke ja meri raza hai
parda jo uthaaya toh nazar aayi na kuch shai
dekha toh yeh dekha jo yahan hai wo wahan hai
parde mein khuda toh nahi mehboob e khuda hai
amaama us hi tarah khada baandh raha hai

ahmad ke ahad main kya samjhoon
yeh kaun hai meem ke chilman mein
hairat ki hai jaan saaya bhi nahi
lagta bhi hai insaan dekhan mein

chalo mana muhammad aadmi hai
magar besaya kyun kar aadmi hai

apna adab sa risht ko kuch soojhta nahin
hairat ki hai dekho unka saaya bhi nahin

allah ka mehboob hai kam paaya nahi hai
main apne muh se daawar e mehshar ko kya kahun
chhota sa muh hai baat badi aur kya kahun
allah ka mehboob hai
allah ne paas bula hi liya
bin dekhe khuda bhi reh na saka

aise to kamaalat bashar mein nahi hote
hairat ki hai dekho unka saya bhi nahi

husn ki jaan ho gaya hoga
goya imaan ho gaya hoga
dekh kar aapka kade e mauzoo 
saaya qurban ho gaya hoga

tore noor se sab sansaar hua
tore naam se beda paar hua
bhagwaan bhi tore gunn haaye
quran aaya tori shaanan mein

kahin yaseen kaha kahin taaha kaha
kahin musavvil kaha kahin kausar kaha

martaba sarwar e konain tera uncha hai
aap qurban mein khuda aap teri sana karta hai

islam kya hai teri adaon ka naam hai
quran kya hai teri sana sar se paaon tak

allah ne quran mein zikr tera kiya hai
kis kyar se mudassir o muzavvir kaha hai

laulaak ke pagri sar sohe
taaha sehra maathe pe saje
walail ki zulfein kaandhon par
maadaz ka kajra nainon mein

tohe yaad karat mora ang ang hai
tarpat hai jiya yasrab ke ghani
aa jyot jaga more nainan mein
ruk meem ka parda rukh se hata
pyasi hoon tere darshan ki

tohe yaad karat mora ang ang hai
mora bhaag suhaag tore sang hai
ik baar jo aa more aangan mein
ho jaaun suhaagan sakhiyan mein

balhaar na ho jaaun 
tori lekar balayiya

mohe des arab mann bhaawat hai
mohe yaad madina aawat hai
bechar bepar ki arj suno
saajid ko bulaalo charnan mein

Comments

  1. Assalaamu alaikum.
    I know that this is a very long kalam, but if you don't mind can you please post the english translation.

    Jazakallah

    ReplyDelete
  2. hazaaron saal raha arsh par khuda bann kar
    utar pada wo madine mein mustafa bann kar
    Who is the writer of this

    ReplyDelete
  3. Ahmad aur ahad ke siwa hai kya Eis jammane mai Ab kya bole kuch baaki hi na raha Bolne ke liye

    ReplyDelete
  4. Taiba k sajeele sanwariya
    Lillah mohe ab darsh dikha
    Bin darshan mar jaun na kahin
    Mora jevan hai tore darshan mai

    Main neech kamini or papan
    Maharaj tori unchi shanan
    Tori zaat p man karat hun main
    Gun koi nahi hai be-gun mai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil