gesuon ko chehre par aapne bikhera hai

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi to mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

lazzat e intezaar leta hoon
yun shab e gham guzaar leta hoon
jab bhi dasti hai mujhe tanhaayi
naam tera pukaar leta hoon

kya meri baat ka yakeen nahi
koi bhi aap sa haseen nahi
bejhijhak dil mein tum chale aao
is makaan mein koi makeen nahi

aap aayein ghareeb khaane mein
sach toh yeh hai mujhe yakeen nahi
aapke rooh e yasneen ki kasam
chaand bhi is qadar haseen nahi

gesuon ko chehre par aapne bikhera hai
baadalon ke saaye mein chaand ka basera hai

kya ajab jo aise mein tod de koi tauba
jaam hi laba lab hai abr bhi ghanera hai

tu bachaaye jaa daaman main na baaz aaunga
mera ishq mera hai tera husn tera hai

teri zulf se dil ko yun lagav hai jaise
teri zulf nagin mera dil sapera hai

unki zulf e barham mein aarizon ko kya dekhun
chaand paas hai lekin door tak andhera hai

in dino majaaz aye dost is tarah hai hasrat ka
dil mein gham zamaane ka lab pe naam tera hai 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha