pyara pyara muhammad hai naam aapka

karam jab aal e nabi ka shareek hota hai
bigad bigad ke har kaam theek hota hai
durood e aal e muhammad ki yeh fazeelat hai
ke lashareek bhi isme shareek hota hai

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

rasool e mujtaba kahiye muhammad mustafa kahiye
khuda ke baad bas wo hain phir iske baad kya kahiye
unka zikr ho duniya saraapagosh ho jaaye
jab unka naam aaye marhaba salle allah kahiye

pyara pyara muhammad hai naam aapka
dono aalam fida aapke naam par

mera mooliya choom rooh ul ameen ne liya
maine jis waqt muhammad naam liya

iss naam ki tasbi toh farishton ne padi hai
pyaara pyara muhammad ka naam

meetha hai ajab salle allah naam e muhammad
pyaara pyaara muhammad ka naam
dekho wo pyara muhammad naam

pyare nabi ka zikr bhi hamko pyara lagta hai
naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai

toofan mein tarti na kabhi nooh ki kashti
hota na agar uspe likha muhammad naam

ya muhammad muhammad main kehta raha
noor se motiyon ki lari bann gayi
aayaton se milaata raha aayatein
phir jo dekha to naat e nabi bann gayi

pyara pyara muhammad hai naam aapka
dono aalam fida aapke naam par
ishq ki ibteda aapke naam se
husn ki inteha aapke naam par

aap hi ke liye bazm e alam saji
na falak na chaand taare 
na sahar na raat hoti
na tera jamaal hota
na ye qayanaat hoti

aap hi ke liye bazm e alam saji
aap hain sab zamaane ke daata sakhi
laaj rakh lijiye kuch na kuch dijiye
maangte hain gada aapke naam par

kamli wale sarre mehshar mera parda rakh le
aaj ke din tere mujrim ko nazamat hai badi

beamal hoon paas mere kuch nahi
laaj waale laaj tere haath hai

Comments

  1. "AZAAN" KHAMOSHI SE SUNA KARO R JAWAB B DIA KARO
    "AZAAN" K EK LAFZ K BADLE 1500 NEIKIYAN MILTI HAIN
    MUKAMAL AZAAN SE 2640000 NEIKIYAN MILTI HAIN...
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha